Deep: Pranam guruji. Guruji mere maan me aur kuch prashna aye hai jinka nivaran aapse jankar mai kritarth hona chahata hu, kripaya mere prashno ka uttar de.Guruji apke question-answer section me pada Maine ki god listens after yagein or hawan, mera isi baat ko lekar ek jigyasa jagi hai.Guruji aj k samay me jab lnsano me insaniyat ki itni kami hai, log proper ved vidya se kafi duur hai, bohot hi kam log aise hai jinhe ved ka proper gyaan hai aur shayad aur v kam aise log hai Jo is marg ko properly follow karte hai, kya aise time me logo ko is baat ka pata hoga k hawan k bina prathna sweekar nahi hoti, mere khyal se bohot kam logo ko iski jankari hogi, to guruji mera prashna un category of people k liye hai jinhe hawan k bare me to kuch pata nahi, magar WO karma se pious deeds karne wale log hai, to aise log for example Jan kalyan ya koi aur aisa pious work karne ja rahe ho Jo ki bohot jyada tough hai aur usko pura karne k liye ishwar ki kripa ki bohot, unki ashirwad ki bohot zaroorat hai, ya suppose guruji WO kisi bishay ko lekar bohot chintit ho, use samajh na aa raha ho ki use kya karna chahiye, aur unhe hawan k bare me kuch na pata ho, magar puri bhakti, shradha, aur purna ishwar k upar biswas k sath us insan ne us particular pious work k safalta k liye ya apne confused or dilemma state ko dur kar, ek sahi marg dikhane ki prathna ishwar se poore dil se ki ho, to kya parampita us prarthna ko listen ya sweekar karenge bina hawan kiye hi, since WO motive pious hai? Ya bina hawan k koi v prathna chahe uske piche ka vab, uska uddeshya kitna v pure kyun na ho accept nahi karenge parampita? Kya yeah prathnai ishwar tak jayengi? Mere hisab se to prathna chahe kisi v roop me , kisi v stithi me, kaise v kyun na ki jai, parampita tak pohoch jati hi hai, after all WO ishwar hai, unse kya chupa ho sakta hai, unhe to sab malum hoga hi, halaki WO prathna sweekar hona ya na hona ye to us prarthna k piche ka vab, udeshya and most importantly parampita k uper nirvar karta hai, ye meri rai hai, magar mujhe aap bataye guruji k asliyat me kya bina hawan k prathna sweekar hota hai, kya ishwar listen karte hai , kya humare sare prathna , sare thoughts, sab kuch parampita ko malum hota hai, ya yagein/hawan k bina parampita tak humare koi v thoughts ya prathna pohoch ti hi nahi hai? Kya sirf yagein or hawan karke prathna karna hi is bat ko ensure karta hai k WO prathna ya us samay me chala us insan k maan k vichar , vab ityadi parampita tak pohocha aur weh sweekar honge MATLAB god will listen to those prayers? Dusre kisi samay me kiya hua prathna ya thoughts parampita tak pohoch hi nahi pata hai to sweekar kaise hoga, aisa hota hai kya guruji? Kripakar mere maan k in prashno ka samadhan karke, mujhpar apni kripa kare guruji, please, yehi mera apse binamra nivedan hai.Guruji ek aur sawal, kya guruji koi apna punya ka fal aapni icha se kisiko Dan kar sakta hai ya kisi aur ka paap apne sir pe le sakta hai, uska jisse paap liya ya punya diya, uska uddhar karne k liye? Kya koi is sristi me aisa karne me saksham hai? Agar haan to kaun aisa kar sakta hai aur ise karne ka kya process hai? Ya apna punya ka Dan ya kisi aur ka paap Lena possible hai hi nahi? Kripaya mera marg darshan kare guruji.Aapko mera koti koti naman.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Han! Beta, aaj ke vishwa ka samaaj ved vidya ko nahin jaanta. Aap jis kitaab ka updesh sunoge ussee kitaab kee prashansa karoge, ussee ko maanogey kyunki aapney sunnee hee kewal wahee ek-do kitabein hain. Ab jab kisi ne ved suney hee nahin to ved ko weh kyun jaanega arthat jaan hee nahin payega. Pratyek ved mein kaha hai, “Shrudhi shrut karnnaha” Hey! Manushya kaanon se vedon ko suno. Isliye ved mein kaha ki ved aur yog vidya ke gyata acharya kee sharann mein rehkar vedon ko suno, samjho aur vidya acharann mein lao. Prashan yahi hai ki jab koi sunega hee nahin to usey kya pata ki ved kya hote hain. To Ishwar se utpann ved ke gyan kee philosophy avinashi aur sukh Dayak philosophy alag hai aur manushyon ke likhe hue granthon kee philosophy alag hai. Ab chahe kisi ko bura lage, sab apnee-apnee philosophy kee baat karte hain lekin ved philosophy kehtee hai ki jab insaan pichchle janamon mein adhik paap karma karta hai, ved ke gyata vidwanon aur mata-pita ka anaadar karta hai, ashubh paap karma karta hai to Yajurved mantra 40/3 ke anusaar weh agle janam mein asur yoni arthat rakshasa yoni ko prapt karta hai. Pichchley janamon ke paap karmon ke phal ke anusaar usey is asur yoni mein kabhi bhi ved sunna naseeb nahin hoga. Kyunki pichchley janamon mein Ishwar ne usey ved sunney ka avsar diya tha jo usne kaam, krodh, mad, lobh aadi ke vash mein hokar thukra diya tha. Ab usey chahkar bhi ved sunney ka avsar Ishwar nahin dega kyunki uskee yoni hee asur yoni hai.

Is Vedic philosophy ko ab koi nahin jaanta kyunki koi ved nahin sunta Agar ved sunein to Ishwar se kshama aadi maang kar kisi vidwaan kee sharann mein jaakar ved ka gyan prapt kar sakta hai parantu ved na sunney ke karann usey is philosophy/niyam ka gyan nahin hai. Weh to manushyon kee likhee kitabon ke anusaar Jeevan guzarta hai. Issee karan logon ko yeh ved ka niyam nahin maaloom ki Ishwar kee Pooja Yajyen aur agnihotra hai aur Ishwar Yajyen mein sabkee sunta hai.

Dekho beta, jo ved ka niyam hai, weh yeh hai ki ved sunna anivarya hai aur sunkar jo vedon ke updesh ke anusaar karma karta hai, un karmon ko punnyavaan karma kehte hain aur jo ved ke khilaaf karma karta hai unhein paap karma kehte hain isliye jisnein ved nahin suney unhein ved yeh kehte hai ki aapko kaise maalum ki aap kaam, krodh, mad, lobh swarth aadi anek vishyon ko tyag kar punnyavaan karma kar rahe ho jab aapney ved sunney hee nahin. Yeh bhi dekha jaata hai ki kai mahanubhaav samaj kalyaan aadi ke liye mahaan karya karte hain lekin un mahaan karya karne ka ahankaar ya un karyon ko karne mein swarth aur krodh aadi ka bartaav nishchit dekha jaata hai.
Kisi-kisi case mein to ghotala aur kaam vritti bhi dekhee gayee hai. Is vishaye mein Atharvaved ne yahi updesh kiya hai ki tum bhautikwad kee unnattee karo parantu yadi aapne Vedic gyan prapt nahin kiya aur saath-saath adhyatmikwaad ka acharann aur adhyatmikwaad kee unnati nahin kee to aap pap karma mein lipt ho jaogey kyunki kewal Vedic adhyatmikwaad hee ko acharann mein lane se bhautikwaad kee tarakki karne wala manushya kabhi paap karma mein lipt nahin hota. Is Atharvaved ke vaak ko bhi koi nahin jaanta. Rigved mein kaha ki desh ka Raja, Rajneta aur praja donon samay vidwanon se ved sunein. Yeh vyavastha Raja banaa kar rakhe jisse uska aur praja ka kalyaan ho. Yeh Vedic niyam anaadi kaal se chala aaya hai jise Dashrath jaise hazaron Rajaon ne aur praja ne Jeevan mein dharann kiya aur sab sukhi rahe.

Ab koi ved nahin sunta to koi kuch nahin jaanta aur is karann vishwa kee janta dukhon kee chapet mein hai aur hinsa aadi se trast hokar bhaye ke vataavaran mein jeene ko majboor hai.

Jab Ishwar ne ek niyam banaa diya ki bina Yajyen, havan aadi ke weh prarthna nahin suntan to Ishwar ke pratyek niyam avinashi hain aur kabhi kisi bhi paristhti mein badalte nahin hain aur Ishwar se yadi hum prarthna karte hain to ved ke gyan ke bina hamein kya pata ki Ishwar kisey kehte hain. Ishwar kee definition to Ishwar ne swayam vedon mein dee hai. Pehle hriday mein us unchangeable, avinashi, srishti rachney, paalan karne wale, niraakaar Ishwar jo hai, usey vedon se jaanon phir uskee Pooja karo aur phir ussey prarthna karo. Mangadhant Ishwar poojna ved ke virudh hai.

Aapke vichaar se kee prarthna kisi bhi roop kee ho ityadi… weh Ishwar tak pahunch jaatee hai to iska uttar de diya hai ki prarthna Ishwar se karo, niyam ke anusaar karo. Aap samajhein ki Ishwar usey kehte hain jissey vedon mein swayam Ishwar kehta hai. Jo Ishwar hai hee nahin agar ussey prarthna karte rahoge to weh kyun sunega?

Ishwar ne janam diya hai aur Rigved mantra 10/135/1,2 ke anusaar samjha diya hai ki manushya ko is janam mein apney poorva janam mein kiye punnya athwa paap karma ka phal sukh aur dukh ke roop mein bhogna hai. Isliye yadi koi manushya kathor se kathor dukh,asahneeya peeda aadi sehta/bhogta hai to Ishwar uspar dayaa nahin karta, isliye us dukh mein bhi yadi koi ved ke virudh prarthna aadi karta hai, daya kee bheekh maangta hai to Ishwar uspar daya nahin karta aisa Vedic niyam hai. Han! isee sukta ke agle mantron mein Ishwar ne samjhaya ki yadi koi jigyasu ved evum yog vidya ke gyata vidwan kee sharann mein jaakar ved marg par chalne lagta hai tub Ishwar uskee buraiyon ko door karta hai aur dukhon ka naash karke sukh deta hai, yeh Vedic niyam hai.

Isliye ved marg par chalna, Yajyen/havan, yogabhyas, naam simran karna, indriyon ko sanyum karna bahut zaroori hai. Isliye hamara janam manushya yoni mein hua hai, Han! apnee-2 jo manushyon ne Pooja karne ke raaste banaye hain, unke niyam alag-2 hain. Apne punnya ka phal doosre ko nahin diya ja sakta. Isiliye kisi ke paap athwa punnya lena asambhav hai kyunki yeh ved virudh hai.