D: Guruji pranam. Aap kaise hai? Aapke aur parampita k aashirwad se mai kushal se hoon. Guruji pichle kuch dino se mere man me kuch prashna jage hain, jinka samadhan mai aapse jankar dhanya hona chahatahu, kripa kar mere prashno ka samadhan kare.Hey guruji koi agar kisiko shraap deta hai to weh shraap use hi lag jata hai, agar WO koi sidhdha purush na ho to, magar guruji agar mata shraap de to? Uska kya hota hai? Hey guruji aapke website k ek article me pada hai ki rigved me kaha gaya hai ki God is more than our father and brothers bt God is equal to our mother, MATLAB to mata khud ishwar ka roop hoti hai, ishwar k saman hoti hai, to guruji kya mata ka, khrodh ya dukh me diya hua shraap kavi bifal ho sakta hai? Mai ye isliye pooch raha hoon guruji kyunki meri ma ye bolti hai k meri dadi bohot sidhe sadhi mahila thi, unka Mann bada saral swavab ka tha, isliye weh har kisike baton me aa jati thi, mere Jo bade uncle hai, MATLAB mere papa k bade Vai WO hamesha mere pitaji se jealous rahete the , mere pitaji ka mere dadi ko veja gaya ghar ka kharch ka part ya koi occasion k liya hua gift mere uncle meri dadi tak thik se pohoch ne hi nahi dete the, meri dadi mere uncle k sath hi raheti thi, jisse wajah se meri voli vali dadi k Mann me bohot hatasha aur dukh hota tha, jiska faida uncle khub uthate the. Isi dukh me , mai janta hoon na chahate hue v Bas emotional hoke, mere dadi ne mere pitaji ko kuch shraap ya bad dua diya tha, halaki bad me jab meri dadi ko mere pitaji ki pyar aur apnapan ka pata laga, WO samjhi ki mere pitaji v unko uncle k jitna I pyar karte hai aur mere pitaji selfish nahi hai, unhe in baddua dene ka afsos v hua tha. Magar guruji Aj agar mai compare karu mere uncle aur mere pitaji k life ko, to mai dekhta hoon k mere uncle bina kisi bohot mehnat ya taqleef k apni life spend karte hai, WO puja path kuch zyada hi karte hai waise, on the other side, mere pitaji ka itna mehnat, din rat hard work karke v life me utni stability nahi hai, business, health or any other aspect, aisa nahi hai k hum khush nahi hai magar mai ye feel karta hoon k mere pitaji deserves more. Han ye bat hai k mere pitaji ko puja path me kuch khas ruchi nahi hai, WO karma me yakin karne walo me se hai nahike puja karne me.Guruji kya mere pitaji jitna v ye low phase me hai, kuch na kuch samasya, ek pareshani kkhatam hone se paheli hi doosri v ready raheti hai, ye Jo phase hai ye hamesha se chalti hi ja rahi hai, mai mere pitaji ko is phase se kavi bahar nikal hue Dekha hi nahi hai, though mere pitaji ne v kavi har nahi Mani hai, unhone humesha DAT k har halat ka samna v kiya aur mujhe aur ma k prati apne sare kartavyo ka palan v kiya, mere liye to WO mere inspiration hai, magar firvi mere pitaji k life k ye ever continuing phase kya sirf unke past life k karmafal hai ya mere dadi k baddua/ shraap ka v asar hai? Aur mere uncle Jo itna stable life me hai kya ye unke past life k good deeds ka asar hai ya mere dadi ki so called sewa karke Jo punnya , Jo dadi ka ashirwad unko mila hai uska v asar hai? After all maa ka ashirwad / shraap hai, asar to hoga hi. guruji dadi k ashirwad ya shraap ka kitna effect hai jo Do Vai o me life phases me itna contradictory fark hai? Kya is shraap se kavi mukti ho v sakti hai kya? Ya mere pitaji ki life aisi hi chalti rahegi? Aapke vichar se kya sahi hai guruji, kripa karke marg darshan de mujhe. Hey guruji mai to har din ishwar se mere pitaji ki pareshanio ka hamesha hamesha k liye the end chahata hu, magar Aj tak to kuch hua nahi. Acha guruji parampita to sarvabyapi hai, humari duniya me kitne log hai , aap kahete hai ki parampita sab jante hai , sab sun sakte hai, to kya is srishti ki har jeev ki har moment Jo v kuch unke mind me chalta raheta hai kya WO sab parampita ko malum hota hai? Kya humari hwar awaz , har baat , har thoughts, har sawal kya parampita k pas pohoch ti raheti hai? Kya parampita ko agar biswas k sath koi sawal kiya jai, poore dilse, ya koi prarthna kiya jai poore dilse to kya parampita humare un prashno ka samadhan karte hai, kya?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. main theek hoon, beta. Aapko ashirwad. Beta, mata bachchey ko prem kartee hai to weh shraap kyun degee aur yadi bachchey ne mata ka had se zyada dil dukhaya hai, kasht pahunchaya hai, rulaya hai to phir us bachchey ka mata ke prati paap karma nishchit ho jaata hai. Phir bachchey ko apne aap hee us paap karma ka phal dukh khud hee uthana padta hai ab chahe mata shraap de ya na de. Rigved mantra 10/135/1,2 mein yahi updesh hai ki manushya apne kiye hue paap aur punnya karmon ke phal kramashaha dukh-sukh ke roop mein bhogta hai.isliye agar hum apne mata pita gurujanon ke prati aadar maan sammaan ka bhaav rakhte hain tabhi hamara Jeevan sukhi hota hai.

Han! Beta mata to Ishwar ke samaan hee hai kyunki mata aur parmeshwar yeh do hee aisee shaktiyaan hain ki yeh hamein detee hee detee hain, letee kuchh bhi nahi. Baki jo maine upar kaha ki mata aur pita ka jo anadar karta hai usey dukh bhogna hee padta hai.

Beta jaisa maine upar Rigved ke mantra ka updesh diya aise hee Charon vedon mein bahut mantra hain jo yeh hamein samajhate hain ki sukh aur dukh apne khud ke kiye hue pichhle janamon ke karmon ka phal hai. Ismein hum kisi aur ko dosh nahi de sakte. Aur jaisa aap likh rahe hain, us hisaab se to aapkee dadi ka diya hua shraap apke pita ko dukh nahi de sakta, mata agar gussay mein bhi apnon ko kuchh kahe to apnon ka bura nahi hota.bura tab hee hota hai jub hum khud hee koi paap karma karein aur ismein bhi yeh niyam hai ki pichhle janamon ke kiye hue karmon ka phal hum is janam mein bhog rahe hain aur is janam mein jo hum paap-punnya karma kar rahe hain ya future mein kareinge, inka phal hamein agle janamon mein bhogna hai, is janam mein nahi.
Dukh dene wale karmon ka naash kewal vedmarg par chalkar, Yajyen yogabhyaas aadi dwara karke hee hota hai. Isliye aap samjhein ki jo samasya ya pareshani ya sukh kisi par bhi aata hai, to weh pichhle janamon ke kiye hue karmon ka phal hai. Yeh dukh hamein na aaye, iske liye Ishwar kehta hai ki manushya ved marg par chale.

Isliye aapko aur apke pitaji ko Gayatri mantra se hawan shuru karna chahiye. Aapke pita bahadur hain jo har haalat ka dat kar mukabala karte hain aur karna chahiye. Yeh unka bahut badaa gunn hai. Parantu dukhon ka nash karne ke liye ved marg par chalna zaroori hai.

Jo kuchh bhi aapke pitaji ne parivaar ke liye kartavya nibhaye, vedon ke anusaar unhein agle janamon mein in kiye hue punnya karmon ka phal sukh ke rooop mein avashya milega.
Aapkee dadi, aapke pita, apke tayaji athwa vishwa ka koi bhi pranni ho, wey sab apne pichhle janamon ke karma bhogne aaye hain. Aisa Ishwar ka vedon mein kaha niyam hai.

Parampita Parmehswar ko vedon mein ‘Maneeshee’ naam se bhi jaante hain jiska arth hai sab ke mann kee jaanne wala. Parmeshwar manushya ke har movement ko dekhta bhi hai jaanta bhi hai aur usee ke anusaar karma phal nishchit karta hai. Weh sabse badaa nyaydheesh hai. Weh kabhi anyay nahi karta.

Vishwaas ke sath aur poore dil ke saath prarthna ya prashna karne ka arth hai ki vedon mein varnnit Nirakar, Sarvashaktiman Parmeshwar aur Ussey utpann vedon par pooree astha ka aa jaana aur yeh astha /vishwaas tab tak nahi aata jab tak koi jigyasu banker ved evam yog vidya ke gyata kisi acharya kee sharann mein rehkar vedon ka gyan prapt nahi kar leta. Isliye main beta aapko advise kar raha hoon ki aap nimanlikhit karein:- .

Shubh Karma

Hard working, devotion, dedication, honesty, services to the parents and elders to follow eternal religion mentioned in Vedas, practice of Ashtang Yog, discharging moral duties to get progress in education, science simultaneously with spiritualism like, daily havan, to be in contact with the learned Acharya, to get his advice, are some of the pious deeds which make the future bright and obliterate the sorrows, problems, diseases, etc.

One must wake up early in the morning for early morning walk and exercises, must sit on meditation and chant holy name of God, must be away from any addiction and non-vegetarian. Such pious actions lead to long, happy life and bright future.

GAYATRI MANTRA

The Gayatri mantra is as follows —

OM BHURBHUVAHA SWAHA TATA SAVITUR VARENYAM BHARGODEVASYA
DHIMAHI DHIYO YO NAHA PRACHODYAT

Meaning of Gayatri mantra stating each word is as follows. Its meaning is based on Vedas and Sanskrit grammar. Grammatical hints are in short please.

Om has three Hindi words. Aa, Uu AND Ma. Aa is meant for Aakaar from which three
names of God are built, Viraat, Agni, and Vishwadi. From Uu = uukar from which
Hirannyagarbha, Vayu and Tejas names occur and Ma = makaar from which Ishwar,
Aditya and Praajyan aadi, holy names of God occur. Rigved mantra 1/164/46 says
God is one but His names are several. But here OM the holy name of God is only being explained.
VIRAAT = Viraat word is made from dhatu ‘Rajrideeptau’ i.e., manifest. Therefore Viraat means He who manifests the universe. As God manifests the universe, thus
Viraat is the name of God. Rigved mandal 10, sukta 129 states that like potter makes pot from clay, similarly God creates universe from non-alive matter prakriti.
Prakriti is unseen matter. From unseen matter, the whole universe is created in the visible form. Science also says that matter is never destroyed but changes its form.

Suppose a paper is burnt, paper changes its form into ashes. Then ashes are crushed and thrown in air. At this moment, the paper changed into ashes becomes invisible but was never destroyed. Similarly the whole universe at the time of final destruction is turned into prakriti i.e., into unseen form.

AGNI = From dhatu, “ANCHU GATI POOJANAYOHO” the word “AGNI is made. Its meaning is: He who is a form of wisdom. “SARVAJAYEN” i.e., Omniscient. That is, knows each and every atom of universe and even beyond universe. He who is to be
known, to be gained and is worshipful. So Agni is the name of God.

VISHWA = Vishwa word is made from dhatu, “VISHPRAVESHANE”. Its meaning is He
in whom the universe is entering or He who is entering the universe. So being
omnipresent, Vishwa is the name of God.

HIRANNYAGARBHA = i.e., ” JYOTIRVAYIHIRANYAM”. Its meaning is, who is the base
of all sun, etc., luminous lokas or He who is the living place of all luminous lokas.
VAYU = from dhatu, “VA GATIGANDHANYOHO”, vayu word is made. Its meaning is
He who holds, gives life and destroys and is the mightiest amongst all. So the name
of God is Vayu.

TEJ = from dhatu, “TIJA NISHANE”, the word Tej is made meaning He who is self
made and self-enlightened and gives light to sun, moon, stars etc. God does not take
light from anywhere but gives light to sun, moon, stars, etc. so the unbroken,
unobstructed/unproduced and eternal form of light is Almighty God and not sun,
moon etc. So the name of God is Tej.

ISHWAR = from dhatu, “ISH ASHWERIYE”, the word Ishwar is made. Its meaning is
whose knowledge is thoughtful and true and He who has unlimited wealth, fortune
and glory etc. Therefore the name of God is Ishwar. Here it is not out of place to
mention that soul (man/woman) has limited qualities and are dependent whereas
God is independent and has unlimited qualities that is why He is God.

ADITYA = from dhatu, “DO AVAKHANDANE”, Aditya word is made. Its meaning is the one who cannot be broken into pieces and thus cannot be destroyed. So God’s name
is Aditya.

PRAJAYEN (PRAGYA) = from dhatu, “JYEN AVABODHANE”, Prajayen word is made meaning whose wisdom is totally without any misunderstanding and thus he who
knows every matter and behavior of whole universe without misunderstanding. So
God’s name is Prajayen. So here also it is not out of place to mention that illusion
can never attack on God and God is totally free from illusion.

BHUHU = “BHUHU ITI VAYEE PRANAHA” i.e., He who is the base of lives of universe,
is most beloved, even more than Prann i.e., breath. So Bhuhu is the name of God.

BHUVAHA= “BHUVAHA ITI APANAHA” i.e., He who is totally free from any sorrow,
and the soul removes his own all sorrows after coming in contact with Him. So the
name of God is Bhuvaha.

SWAHA = i.e., “SWAHA ITI VYANAHE” who is omnipresent in the universe and is
holding the same. So the name of God is Swaha.

SAVITUHU = He who creates the universe. So the name of God is Savituhu.

DEVSYA= who gives all pleasure/merriment, so the name of God is Dev.

VARENNYAM = He who is the most supreme and acceptable. God is most supreme
and acceptable for worship.

BHARGAHA = the purest entity (though God is formless, but finding no suitable
English word of Sanskrit word, “SHUDH SWARUPAM” the word entity has been used.)

TAT = i.e., the God i.e., of the purest entity.

DHIMAHI = i.e., we must hold (sort of meditation) because

YAHA = the God

NAHA = our,

DHIYAHA = mind(i.e., in our minds)

PRACHODYAT = by inspiration (fulfil the mind with wisdom)

MEANING

“We meditate the God who is the base of lives’ of universe, totally free from any sorrow, omnipresent, creates the universe, gives all pleasure/merriment, most supreme and acceptable, purest entity; May the God enlighten our minds with wisdom by His inspiration”.

Here it is not out of place to mention that idea of a (one) Ved mantra is based on ideas of several Ved mantras. So in the above Gayatri mantra, there are three things —-

Bhuhu, Bhuvaha, Swaha, Savituhu, Bhargaha, Devsya are some qualities amongst unlimited qualities of God. These are called Stuti i.e., to say about God with His real qualities and not self made etc.

Secondly Dhimahi means meditation i.e., one should always sit in meditation and do hard and pious deeds for which he will have to study Vedas in full, while discharging moral duties towards family and nation.

Third and last is DHIYO YO NAHA PRACHODYAT. It is a prayer to God explanation of which is cited above.

HOW TO DO HAVAN

Please sit in the morning to perform havan. Havan must be in sunlight then it is more beneficial. Then half a bowl of fresh water with a tablespoon must be with you with small twigs especially of mango tree if possible, havan samagri, ghee, camphor and match box must be there with you. Please sit on sukh asan on four times folded blanket and blanket must be on mat.

Sukh asan i.e., sit on duly folded feet in comfortable position. Then first close your eyes and concentrate between two eyebrows and chant Gayatri mantra three times within heart and not by mouth. Then open your eyes.

Take one spoon of water in right palm. Chant this mantra, OM AMRITO UPASTRANMASI SWAHA and drink the water which you have put in your palm. Then again take the spoon of water in right palm then chant the next mantra, OM AMRITA APIDHANMASI SWAHA, and drink the water. Then again take the water in right palm and chant the mantra, OM SATYAM YASHAH SHRI MAYI SHRI SHRAYTAAM SWAHA, and drink the water. Then wash the right palm while sitting, with the same water kept in bowl.

Then put the twigs into havan kund with one piece of camphor and burn it. During this process chant the Gayatri mantra again and again till such time the fire is lighted sufficiently. Then chant the Gayatri mantra and at the last add the word Swaha and offer ghee with tablespoon, quantity equivalent to 4 to 5 drops. And if you are alone then also offer in fire pinch of havan samagri from your right hand’s finger and thumb avoiding forefinger. So this offering may be of 11 times, 21 times or 51 times as the time suits. It is the simplest way and I have not quoted the complete method of Yajna. The havan with Ved mantras are always offered as the best worship of God only please. Do havan daily and both times.

In the end of hawan, please pray to God to fulfill your desires. I hope God will sure listen to you.

PROCEDURE OF CHANTING

Please, start the day by chanting Gayatri mantra in the early morning sitting on suitable asan like Sukhasan, Siddhasan or Padmasan etc. concentrate on the point between two eyebrows which is called “Agyachakra”. The Gayatri mantra should be chanted along with its meaning both times. Also, please try to perform daily hawan even with Gayatri mantra. Then try to study any of my books daily and put up question if any.

After 15 days chant the Gayatri mantra only thrice thereafter do the name jaap of Almighty God-“Om”. The jaap must be done daily by heart and not orally.