Edward: Namaste Swamiji, I have all your English books and most importantly I want Sandhya Mantra for my daily havan but the book is in hindi, is it possible you give me the special mantras for additional protection from enemies or if the mantras are in the Vedas you can just let me know the chapter and verse as I have a complete Vedas from Vedic Books. Regards, Edward.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Actually, the daily agnihotra is performed with some important collection of mantras to get hundred percent fruitful results. So, mantras can’t be minimized. Therefore you are requested to please make contact with local Arya Samaj Mandir there to learn correct pronunciation and meaning of the mantras. The said procedure will ever be beneficial for you and therefore requires hard work of learning.

K S: Guru ji mujhae apse bahut questions pochne hai. Please mere questions ka rply kijiye..guru ji mere pariwar wale or mai bachpan se hi radhasoami beas k anuyayi hai,mere father mother, taya-tai,chacha-chachi, bhai-bhabhi,sb inhi guru ji diksha liye hue hai..Maine Abhi namdan nhi liya… Aap bataiye mujhae kya krna chahiye…mai Abhi ias k tyari delhi mai kr rhi hu.. hai, shadhi Abhi nhi hui, mai kisi dharmik sastha se judna chahti hu , plz suggest me…
Swami Ram Swarup: Anadi kaal se jo ek satya marg chala aa raha hai weh Ishwar ka banaya ved marg hai jis par hamare sabhi Rishi-muni Sri Ram, Sri Krishan Maharaj aadi aur pichhle yugon kee janta chalee aur sukh prapt kiya to ab bhi beti aapkee ichchha hai, aap jo bhi marg chahein, app usey apna lein. Parantu satya yahi hai ki ved marg eternal, everlasting aur God- made hai.