Annu: Kya krishna bhagwan chand ko dekne ke bad hi khana khate the?
Swami Ram Swarup: Aisa kahin humne na suna aur na hee Mahabharat granth mein padaa ki Sri Krishna maharaj chand ko dekh kar khana khate they. Vastutaha, vedanusaar to surya asta hone se pehle hee bhojan karne ka updesh kiya hai.
Sonika: Baba ji apkai charan m mera astang pranam …kaise hai baba ji ap? Baba shree hmara ek question hai..
qus-ghar m nili makhi ka ana kaisa hota hai,mere gher y 2 -4 k sankhya m aati hai kbhi kbhi..aur mere ass pass ek mandarati hai.yai kiss chej ka sankaet hai ??kripa ker kai hamai bate.
Apka aabhar hoga..
Swami Ram Swarup: Aapko mera ashirwad, beti. Main theek hoon aur subko ashirwad. Makhi, macchar, bicchhu, saanp athwa koi bhi haanikarak pranni ghar mein aata hai to vedon mein usey maar dene ka updesh hai. Kyunki weh manushya jaati ko nuksaan pahuncha sakta hai, maar sakta hai. Manushya ka Jeevan anya pranniyon se shreshth hai. Atah ghar mein aaney par inhein maar dena hee uchhit hai. Han! Jub yeh vanon mein ya ghar ke bahar door kahin apne nivas mein rehte hain tub inhein maarna paap hai. Isliye in makhiyon ka tumahaare ghar mein aana theek nahin, yeh kisi prakaar ka sanket to nahin hai kintu inse kisi bhi beemaree ka phailne ka darr hai aur aapke hee nahin lagbhag sabhi nar-naariyon ke aagey-peechhey macchar aur makhi apne bhojan kee talash mein chakkar lagaate hee hain, yeh inka swabhaav hai. Koi sanket aadi nahin hai.