Questions & Answers – December 05, 2018

Anonymous: Pranaam Guruji, Jab bhi city mein awara cows dekhta hoon, kooda khati hui, bahut boora lagta hai, especially jab se cows aur unki seva ka mahattva jaana hai. In mein kuch bulls hote hain toh kuch bichari boodhi cows hoti hai. Lekin kuch toh doodh dene wali bhi hoti hai – unke owner unhe kooda khaane k liye chhod dete hai aur fir doodh nikaalne le jaate hai!

Kya mai inke liye kuch kar sakta hoon? Mere paas na inko rakhne k liye koi zameen hai na inki dekh bhaal k liye funds. Ha, thoda time hai aur seva ka bhaav bhi. Agar kuch karne ki sambhavna ho toh please margdarshan kare.

Filhal mai bas havan karte waqt inki raksha karne ki prarthna karte huye purna-aahuti daalta hoon.

Swami Ram Swarup: My blessings to you. Janta evam gaay, ghoda aadi pashuon ka theek theek palan poshann karna, unhein ann aadi dena sarkar ka hee dayitva hai. Visheshkar gaay kee raksha to Sarkar ko aur bhee dhyan se karnee chahiye. Han! Ismein yadi koi dhanwan vyakti sehyog kare to weh punnyawan karma hai. Aaj ke yug mein gaay kee durdasha sachmuch dukhdaayee hai aur iska karann yahee hai ki Sarkar evam janta mein vedic shiksha lupt prayah ho chukee hai, jismein Raja, rajneta evam praja ke kartavya karma ka updesh hai. Vedon mein gaay kee sewa ka vishesh mahatva bataaya gaya hai. jab koi ved sunega hee nahi to usey apne kartavya ka gyan kaise hoga? Jahaan tak aapka prashan hai, aap Ishwar se prarthna hee karein. Mera aapko ashirwad.

Rajesh: स्वामी जी नमस्ते।नवशस्येष्टि पर्व आदिकाल से मनाया जाता है। श्री रामचंद्र जी के समय में भी यह पर्व मनाया जाता था। इन दोनों बातों के प्रमाण कहाँ मिलते हैं? कृपया समाधान करके कृतार्थ करें।
Swami Ram Swarup: Namasteji. Navshasyeshti parv ka ullekh vedon mein nahi hai. Han jab nayee phasal kattee hai aur jab kisan ghar mein naya ann lata hai tab us samay Yajyen avashya karna chahiye. Aaj kal lohri ka parv bhee manate hain jo uchit hai.