K: Kya swami ji ek yogi ka beta jarori h ke wo bhi yogi ho? Agar wo galat karye kreta hai tab kaise possible ho sakta hai? Kyuki wo to bacpan se he yogi ke acharan me pala hota h. Wo kuch bhi galat kaise kr sakta? Agar wo galat hai? Matlab drink non veg ye sbe ..kya ek yogi ke santaan me koi tez hota hai?
Swami Ram Swarup: Nahin. Yeh zaroori nahin hai ki ek Yogi ka beta zaroor hee Yogi hoga. Jaise Ravanna ke Pita ek prasiddh Rishi they parantu Ravanna ne asuron jaise karya kiye. Yeh vartamaan kaal ved vidya se anjaan hai aur kisi bhi Yogi-Rishi –Muni ka beta ya beti, us Yogi ke aashrey mein nahi palte apitu vartamaan school, college jaana hota hai aur woh wahan ke atmosphere mein aise male aur female friends bana lete hain jinhein ved ka bilkul gyan nahi hai. Isliye Yogi ke beta-beti ke chitta par baahar ka prabhav zyada rehta hai. Doosra aaj adhiktar Yogi-Rishi-Muni ashram mein rehte hain to mera anubhav hai ki us ashram mein rehne wale kai vyakti bhi dagaabaaz, dhokhebaaz hotey hain jo Rishi-Muniyon ke parivaar ko galat raaste par chalaate hain. Kyunki weh Yogi to apne shishyon par vishwas karta hai parantu kai shishya apnee swarthpoorti ke liye Yogi se vishwas- ghaat karte hain. Yahi karann hai ki aaj yeh zaroori nahin hai ki Yogi ka beta yogi hee banega. Yogi kee usee santaan mein tej hota hai jo santaan Yogi kee agya aur updesh ka palaan kartee hai aur yahi niyam Yogi ke shishyon par lagu hota hai. Kyunki Yogi ke shishya bhi uske beta aur beti hee hote hain aur Yogi unka adhyatmik Pita hota hai.

Khusbhu: Guru ji pranam…mai delhi ias k tyari kr rhi hu, mujhae apna delhi ka program bataye mai apse milna chahti hu. Guru ji isse phle bhi Maine questions kiye but mujhae unka reply nahi mila Isliye mai apse milna chahti hu…Please guru ji is time jarur dekheye. I apologise for the delay in sending.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beti, abhi mera Delhi aane ka koi programme nahi hai, kyunki main yahaan Ved mandir mein rozana ke Yajyen aur lekhnee ke karya mein busy rehta hoon. Jub programme hoga to main avashya likh doonga. Beti, mera phir se tumhein ashirwad.