Anjana: Guru Maharaj ji ke Charno me Koti-Koti Pranaam. Mere Prashan yeh hai ki Pralay Kaal me na Prithivee thi, na Antriksh tha, na Jal tha, na vayu thi, kuch bhi nahi tha, sub gud Andhkar me tha. To mera Prashan yeh hai ki kya tub yeh sara Brahmand ek Bindu(Ishwer)me samaya hota hai, aur Rachna hone par yeh sara Brahmand aise hi phel jata hai jaise aub hai.Guruji ko Pranaam !
Swami Ram Swarup: Parlay kaal mein yeh creation jad prakriti ke roop mein aa jaati hai arthat prakriti ban jaati hai. Jeevatmayein sushupt avastha mein hotee hain. Prakriti aur jeevatmayein is pralaykaal mein Parmeshwar ke ashray mein rehtee hain. Us samay jeeta-jaagta ek tatva swayambhoo Chetan Parmeshar hee hota hai. Mera tumhein ashirwad.