Abhishek: Namastay guruji, Bhagwaan Ganesh Jo 14 vidhya ke dhaani hai. Is ka matalabh kya hai? Kya sirf 14 prakar ki shaktiyaan Bhagwaan ganesh ke pass hai? Krupaya mujhe bataye.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Fourteen vidya vedon mein varnnit hain. Chaar ved aur iske lawa vyakaran, nirukta, vaayu vigyan, gannit vidya aadi chodhaa vidyayein hain. Jab koi padta nahin, sunta nahin in vidyayon ko to unka vyakhyaan karna bekaar sa hee ho gaya hai. Sabse pehle manushya ka dharma hai ki woh chaar vedon ka Adhyayan grihasthashram mein rehte hue kare. Vedon mein nirakaar Ishwar kee Pooja ka vidhaan hai. Jo vartamaan kaal mein ganesh Pooja hai, yeh insaan ke apne-2 vichaar hain aur weh in Pooja ko karne ke liye azaad hai.
Raghav: Pita G charanbandna pita G agar koi guru ke baare me kuch kuch bola matlab koi burra khe uske shehya ke saamne to kya hensa theek ha ya fir b chup he rehna chahea?
Swami Ram Swarup: Beta, mera tumhe ashirwad. Ved hamein hinsa ka marg nahin sikhaate. Agar koi guru ke liye bura kehta hai to shishya ko wahaan se phauran chale janaa chahiye aur shanti banaye rakhnee chahiye. Yeh bhi dhyan rahe ki Ishwar karmon ka phal deta hai koi kisi ko bura kehta hai to Ishwar usey khud hee sazaa deta hai. Isliye hamein kisi bhi vivaad mein nahin phansana chahiye aur apne ghar ke shubh karma karte rehna chahiye.