Vicky: Hindu Dharm me Kisi Manusya Ke Marne Ke baad Unke Parijan Apna Sir Ka Baal Kyou Banwate hai. Samaaj Isse chhutka manti hai. Please aap mujhe Bistar se Btaiye ki iska sahi me reason kya hai.
Swami Ram Swarup: Mrityu ke samay Baal katwana manushya dwara banaya ek rivaz hai. Kyunki mrityu hone par vedon mein baal katwane ka koi varnnan nahin milta. Haan, sanyaas late samay vedon mein kaha hai ki sir, daadhi, moonchh ke baal katwayein.

Saurabh: Swamiji Pranam, Mera abhi Divorce hua hai…meri beti meri pehli patni ke pass hai….vo bahut galat log hai or mein apni beti ke liye bahut chintit ho…kripa karke koi upae batae ki meri beti mere pass vapis a jae.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vaise santaan apne mata-pita kee dekh-rekh mein hee pale toh achha hota hai. Parantu dev yog se aapka toh divorce ho gaya hai. Ab aap beti ko lane ke liye kisi vakeel (advocate) kee hee salah lein kyunki aise case bina court mein gaye sulajhtein nahin hain. Ashirwaad.

Dave:Dear swamiji pranams! swamiji according to vedas how many earth planets exist in gods creation that have animals and humans just like our earth? Thank you.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Question raised by you is surely related with Vedas. Yet to know the actual number of planets being in the largest scale is quite impossible, please.