Anonymous: Swami ji in aiteraya brahman it is said that can u clear my confusion “Present the evil spirits with the blood.” [Aitareya Brahman, Book 2, para 6 and 7]
Swami Ram Swarup: In Vedas, there is no mention about evil spirits because evil spirit donot exist. Task being lengthy and I am busy in my routine task of spiritualism, so it is not possible for me to explain the shlokas.
Puneet: Swami jee Shatpath Brahman 13/5/2 ka arth bata sakte hai?
Swami Ram Swarup: Task being lengthy and I am busy in my routine task of spiritualism, so it is not possible for me to explain the shlokas.
Aman: गुरुजी प्रणाम। aj kal ka bacha kuch suna ka razi ni…na bada bhai ki na parents ki. apni hi duniya ma…. agar kuch bolo to arguments with parents and elder. kya ho gya ha inko specially 14-17 age agr inko kuch bolo to samjya ga nahi…usko ulta hi samja gai. kuch b sun ka ni razii asa inko kasa samjya jya kya galt kya sahi inka liya…
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Aaj duniya mein koi chhcota ho ya badaa ho, ved vidya ko jo nahin sunte, nahin jaante, tab unkee indriyan sainyam mein nahin ho paatee. Pichchley yugon mein ved vidya kee sadhna ke karann chchotey-bade sabkee indriyan vash mein hotee thee isliye weh mata-pita, guru aur vridhon kee sewa karke punnya prapt karte they, jo ab ved vdiya ka gyan na hone ke karann sab kuchh samapt ho gaya hai aur visheshtaha aaj kee yuva peedee prayaha virodhabhaas aur kai bachchey to addiction mein phansa kar swayum ko aur desh ko kamzor banaa rahe hain. Iska ek hee ilaaj hai ki bachon mein ved vidya ka prakash kiya jaye aur ghar-ghar mein aur school, college, university tak ved vidya sunne, padne ko anivarya ghoshit kiya jaye, tabhi character nirmaan hoga.
Ranbir: Kya girls shiv tandav stotram ko padh sakti hain?
Swami Ram Swarup: Shiv tandav stotram ka varnnan vedon mein nahi hai isliye koi bhi ved ka gyata vidwaan isko accept nahi karta. Baki jo apnee ichchha se isko padta hai, weh padein par ved mein iska varnnan nahi ha. Ved mein to ek nirakar, sarvavyapak , sarvashaktimaan Parmeshwar kee pooja vedanusar karne kee agya dee hai, jis Parmeshwar ne yeh srishti banayee iskee palna kar raha hai aur sanhar karke phir srishti kee rachna kar deta hai.