Dwivendra: Guruji Pranaam, accept our love please. My questions are:

1) How can Ganpati ji has an elephant face?
2) Why we give prasad, what is the meaning , when God not even touch it
Please tell me according to Vedas . Thank you
Swami Ram Swarup: Blessings beta.

(1) This face and situation has been mentioned in purannik kathas, but it has not been mentioned in vedas.

(2) In Atharvaved, it is preached that if a person after finishing Yajyen from ved mantras takes food /prasaad etc., it becomes pious matter and becomes a blessing for those who take it.

After finishing of vedic period i.e., after Mahabharat war, when people started forgetting vedic culture and made their own paths of worships then the Prasad system continued.

Satyam: Swamiji charansparsh
1. Bhagirath ji ne apni Kathin tapasya se ganga ko dharti PR prakat kia..ye unnatural nhi hai?
2. Swamiji jb aap brahm m leen thay tb apke andar ved mantra swayam pragat ho gye.. AGR aisa h to hr koi bs brahm m leen ho jae or ved khud pragat ho jaenge phr vedo ko sunne ki kya avashyakta bchi.
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

(1) Han! Bhageerath dwara Ganga ko prithivi par prakat karna unnatural and unauthentic hai.

In this connection, I paste one of my answer below:-

Nahi ganga ek pavitra nadi hai aur yeh sansar kee rachna ka ek hissa hai. Hamein yeh gyat hona chahiye ki sansar kee rachna karne wala kewal ek nirakar sarvashaktimaan, sarvavyapak Ishwar hai. Isliye ganga nadi bhi Usee Ishwar kee rachna hai. Rigved mein kaha hai ki jo nadi parvaton se nikaltee hai, aur seedhi samundra se jaa miltee hai, usey ganga nadi kehte hain. Bharat bhoomi par bhi ganga nadi, parvaton se nikal kar seedhi samundra se jaa miltee hai.

(2) Aapne kabhi is Vishay par vichhar kiya ki is duniya mein kitne mazhab ke followers hain. Sadhu-santon ke apne apne banaye marg hain aur yahaan tak ki thirty-three crore devi-devtaon kee pooja path hai. Tub kitne shesh bachey jo vedon ko follow kareinge. Ved to yahaan tak kehte hain ki yadi poora jigyasu guru bhakti karke apne guru se vedon ka gyan nahi leta apitu kewal sunta hai, vidya achrann mein nahi lata to uska bhi ved mantra bhala nahi karte, to baaki ki to kya baat karein?

Jatin: Acharyaji, Saadar pranam. Please add me in your whatsapp group. (Postal address and phone provided).
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Necessary action is being done, please.

Satyam: Kindly add me on WhatsApp group (Details provided)
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Necessary action is being done, please.