Adarsh: Swami ji kya bina naam dan aur bina hawan kare agr puri pavitara ke saath kebal dhayan abhayas kiya jaaye to kya light and sound ka anubhav ho sakta he? 🙏🙏

Swami Ram Swarup: darsh beta bina naam ka gyan prapt kiye yani bina deeksha liye aur vidwan se bina agnihotr aadi seekhe aur bina ved vidya sune, iske bina to man kabhi bhi saaf nahin ho sakta aur aage kya kahein.

Tulsi jaise mahatma bhi likhakar chale gaye               “ guru bin bhav nidhi tarein na koi

Jyon viranchI Shankar Sam hoi”                                        Guru bani  mein bhi Shri guru Maharajji ne kaha hai

Guru prasad jin antar paya so antar bahar suhela jeev”.    Parantu vedon ne guru usko kaha hai jo charon ved aur ashtang yog vidya ko janta, jiski indriyan sanyam mein hon ityadi anya kisi ko ved guru nahi manta.