Sapana: Pranam swamiji!! Aapne kaha hai ki Mahabharat ke purv sab Vedaabhyas karte the to phir shri ramji ne shivling ki sthapna Rameshwar me karke unki puja kaise ki? Kya Shivling ki puja murtipuja nahi hai? Mahabharat ke purva kalke bhi mandiro ki khoj ki gayi hai, to wah mandiro me kinki puja hoti thi? Dhanyawad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter.

Sri Ram Treta yug mein aaye the. Weh yug sampoorna Vedic kaal ka yug tha. Manushya kee likhee koi kitaab us samay nahi thee. Isliye Sri Ram ne kabhi koi shivling kee sthapana nahi kee. Yeh baatein toh aaj kal kee kitabon mein koi likh deta hai jo vedon ke khilaaf hai. Shivling kee Pooja moorti Pooja hai isliye vedon ke vidwan shivling kee Pooja nahi karte. Aur vedon mein moorti Pooja ka vidhan nahi hai. Mahabharat kaal mein athwa Mahabharat kaal se pehle kisi mandir kee sthapana nahi hui. Mahabharat kaal aaj se lagbhag swa paanch hazaar varsh pehle ka tha aur moorti Pooja shuru huye do-dhai hazaar varsh hee huye hain isliye Mahabharat kaal mein moorti pooja nahi thee.

Deep: Pranam guruji. Guruji mere man ek aur prashna aaya hai k, yogi Jo salvation prapt karte hai aur weh byakti Jo kisi dusre tarah jaise k matrivumi k liye praan deke salvation prapt korte hai, in do tarah se prapt ki hui salvation me kis salvated soul ko hum equivalent to god bolenge? Kya in do tarah se pai hui salvated souls me koi antar hai ya dono hi same hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Salvation toh salvation hee hotee hai arthat jo bhi soul salvation prapt karegee usey hee Brahma ka ek jaisa anubhav hoga aur weh janam-mrityu se chchoot jayegee. Isliye salvation prapt souls mein koi antar nahi hota.

Dave: Pranaam swamiji, swamiji you’re articles are really great and informative I will use them to spread Vedic knowledge here in the U.K. where I live. AUM.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Thank you, my son.