Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी महर्षि दयानंदजी से पूर्व वेद ज्ञान प्रसार का काम किन ऋषियो ने कब कब किया।
Swami Ram Swarup: Aapko mera ashirwad beti. Ved ke vishaye mein bahut vidwano ne apnee yathashakti anusaar prachaar-prasaar kiya parantu jinke naam itne prassidh nahi hai aur gyan bhi nahi hai. Parantu jitna ved vishaye ke upar athak prayatna (prachaar) ke liye karya Swami Dayanandji ne kiya, utna pichchley 200 varsh tak kisi ne nahi kiya. Swami Dayanand ji poornataha vedon par samarpit the aur ek nidar sanyasi the. Weh har mazhab mein jaate the aur unhee mazhaabo ke saath bhaithkar unkee ninda kar dete the.
Amit: Swamiji charan bandana aapne kaha tha vedo mein likha hai mata nirmati bave arthat mata baccho ke bhavish kaa nirman karte hai. Swamiji agar baccho ki mata bachpan mein death ho jai tab unka bhavish kaa nirman kaise hoga.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Bacchon ke bahvishya ka nirmaan mata ke pashchaat ved ka gyata, vidwan Acharya karta hai, weh bacchon ko ved kee shiksha dekar vidwan banaata hai.
KK: महाराज जी को कोटि कोटि नमन।महाराज जी आसन सिद्धि करने के लिए हमें कितने घंटे आसन में लगातार बैठना चाहिए।महाराज जी क्या नाम जाप को भी सिद्ध करना होता है या ये पहले से सिद्ध होता है कृपया मार्गदर्सन कीजिये महाराज जी ।प्रणाम महाराज जी।
Swami Ram Swarup: Mera aaapko ashirwad, beta. Asan siddhi dheere-dheere hotee hai. Hath Yog karke zabardasti ek asan par bhaithne se nuksaan ho sakta hai. Ek asan par jitnee der araam se bhaitha jaye, utna hee batho. Phir thoda sa samay badaite hue jub asan par bhaithne se koi dukh-dard na ho aur der tak bhaitha jaye tub samjho asan siddh ho gaya.