Akash: Guruji ke charnoo main mera shat shat pranam,
Guruji purane samay main student bina likhe hi sab kuch yad kar lete the. Guruji muje bhi sirf pad-pad ke hi yad karne ki aadat hai. Aur main chal chal ke padta hoon isse muje acha aur jaldi yad ho jata hai. lekin aap students ko likh-likh ke yad karne ki advise karte hain. To kya mera tarika galat hai kya Gutuji, Muje baith ke padne se neend bhi aane lagti hia isliye chal chal ke padta hoon aur ache numbers se pass bhi ho jata hoon.
2. Aage ki padai kaafi zada hai jisme ke likh likh ke padna to sambav hi nahi due to shortage of time also. Fir bhi main main main chizoon ko likh leta hoon.
Guruji mere tareke main koi galti to nahi! And can I continue the way that suits me in my studies.
Dhanayad Guruji.
Swami Ram Swarup: Blessings to you my son. Purane jamane main vidhyarti ko janam se hi Gurukul main Brahmcharya dharan karne ka gyaan de diya jaata tha. Yog shastra ke Rishi kehte hain, “Bramcharyapratishthayam samritilabhah” – matlab yeh hai ki jo bachpan se Brahmcharya dharan karega, satvik bhojan karega, gau ka doodh piyega, subah uth kar yogabhasyas aati kriyayen karega, to mainly brahmcharya dharan karne ki vajah se students ki smriti itni tez ho jaati hai ki usko guru ka, teacher ka diya hua moohzabani gyaan usi samay yaad ho jaata hai. Ab is Brahmcharya ki kami se student aur grahashtyashram main bahut dosh aa gaye hain. Aalas aur neendh gher leti hain aur paap bhi karati hain. Baaki aap chal chal kar padte hain usme koi harz nahin hai.
Harsh: Parnam Swamiji. Kya satya mein Gayatri Mantra jap karine se yeh benifits hotein hai toh keise ,kitne time jap karna chahiye.jo benifits neeche diye hain. Becoming radiant Divine light is the greatest benefit, but if that’s not enough for you, or you think its too far away, along the path to Divinity there are many other benefits that you can enjoy sooner.
Gayatri:
Removes obstacles from your life
Protects you from danger
Brightens you mind
Dispels ignorance
Improves communication abilities
Opens your psychic vision
Brings direct knowledge of the eternal truths
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Haan yah satya hai ki yadi Gayatri mantra ka jaap aur havan main aahooti daali jayen, lekin voh arth sahit aur aacharan men aa kar daali jaayen tab gayatri mantra sabko bahut jyaada labhi degi. Gayatri mantra Ishwar ki stuti kar raha hai, hamen stuti karne ka dhang bata raha hai.
Jaise bhoo, bhuwaha, swaha, devasye, dhimahi, yeh Ishwar ke gunngan hai jiska arth sabko moohzabani hona chahiye.
Dhimahi ka arth hai ki rozana Ishwar ke dhyaan mein baithna chahiye, yah Ishwar ki pooja hai. Yadi hum Gunngaan gayengi, Ishwar ke dhyaan main baaithenge, to hum annt main Gayatri main likhi gayi prarathna karne ke layak banenge ki he prabhu hamari buddhi main gyaan ka prakash kar de. Yadi hum itna kuch nahin karte to Gayatri mantra ka jaap ya isse kiya hua havan hamein koi laabh nahin dega kyonki Rigved mantra 1/164/39 main spast kaha hai ki keval pada suna Vedmantra koi laabh nahin dega.
Prahlad: Namaste guruji, mene aapke answer me pada tha ki bhagwan shabd creator ,rishi-muni aur yogi ke liye use kar sakte hai lekin guruji aisa kaunsa shabd hai jo sirf aur sirf creator ke liye use kar sakte hai dhanyawaad
Swami Ram Swarup: Sirf creator ke liye agni, vaayu, surya, chandrama, aur anginit naam Vedon main hain. Parantu sabse uttam naam Om kaha hai. Isliye aap om ka jaap karein.