Suvrat: Pranam Guruji, kshama chahte hai, galati se ek blank message bhej diya. Humey kal aapke bheje huwe baki ke pustakey bhi prapt ho gaye hai. Abhi kuch dino se cable line mey kharabi aaney ke karan internet ki seva se vanchit hai, hum soch rahey hai ki cable line ke jagah WiMAX laganey se eisi samasya bhavishya me nahi aayegi. Vaise guruji humarey samjhaney se log mansahar chod toh rahey hai parantu, hum chintit hai ki mansahar chod dengey to kahi kuposhan ka shikar na ho jaye. Gaushala ke baarey mey log yeh kehtey hai ki kuch season mey manusha ko bhi khaney piney ki kami hoti hai, gai bachdo ko kaha se khana lakar dein!

Vaise guruji, humko ek rajnaitic prashna puchna tha. Vedon mey kuch eisa upai toh hoga jissey ki aaj ke rajnetao ko vivash kar sakey kI ve ek bada shastrarth Sabha ka ayojan karey jaha pradhan mantri, badey badey veijyanik tatha sabhi vidvan upasthit rahey?

Aur bhi prashna puchna tha jo hum internet connection thik hone ke bad puchengey. Abhi sankhipt mey likhney ke liye kshama chahtey hai.

Aapkey charno mey mera pranam. Aapka shishya Suvrat.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Suvrat beta, mera aapko hardik ashirwad aur wahan sabhi shraddhaluon ko mera ashirwad. Rajnetaon ke hath mein sab kuchh hota hai isliye yadi koi M.P. ya M.L.A. bhi sachchai se koshish kare to vedon ke bhashann, shastrarth aadi kee vavastha karke asaani se ved vidya ka prachar kar sakta hai jisse Ishwar prasann hote hain, parantu yeh sab us M.P. , M.L.A. ke vicharon par nirbhar hai. Un vicharon ke anusar hee weh mehnat karte hain. Jo non-vegetarian chhodte hain weh daal, sabzi chawal aur doodh aadi roz lete hain to weh kabhi kuposhann ka shikar nahi honge. Kuposhann se bachne ka aur bhi sabse achchha tareeka yeh hai ki manushya ko drid brahmacharya dharann karna chahiye jisse weh nirog rahega aur aayu bad jayegee.

Khane-peene ki kami wahin rehtee hai jahaan yajyen aadi ke dwara Ishwar kee rozana Pooja nahi hotee aur gau ke khane-peene ke liye sthaneeya public aur M.L.A. tatha M.P. se dhan ekatra karna chahiye.

Aapko mera phir se ashirwad.

MeiKam: Dear Guruji, In case of health issues, how should we choose between Modern Medicine and Ayurveda which originates from Arthveda? Thanks!
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. In the case of health, medical advice either from Allopathic doctor or from ayurvedic doctor is immediately required and should take the medicine which suits patient i.e., either allopathic or ayurvedic. Both types of medicines are recommended by the Vedas.

MeiKam: Dear Guruji, Why is the best to concentrate on our Ajna Chakra during meditation among all other chakras in our body? Thanks!
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Because most of the yogis have experienced concentrating on Agya chakra but it does not mean that concentration on other points like heart and nose tip would give less benefit. Devotee can concentrate on any point but not outside body.