J P SINGH: Parampujya Guruji Maharaj ke shri charanon me sashtang pranam. Maharaj ji, please teach me that about the ANTAHKARAN somewhere is mentioned four components (mann, Buddhi, Chitta and Ahankar) and at other place three (Mann, Buddhi and Ahankar) components and in yog darshan Chitta contains three components. Please give me the knowledge in detail. Thanking you.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son.

Antahakarann has four components- Mann, Buddhi, Chitta and Ahankar. But in Yog shastra, mann, buddhi, ahankar, these three components have been named as “Chitta”. So, in reality there are four components of antahakarann.

Sandeep: Guru ji Sis Jhukaar Nmaskaar Karta houn,
Q. Kya Bhagwaan Hmaari har Dua aur Maango ko sun paatein hai?
Q. kabhi kabhi Bhagwaan ko bahot Chahne waale aur unke Darshan k liye prabhu k Thirth sthalo par jaate samay Bhakto ka akaal mritu ya Durghtna ho jaati hai kyo? wo to Prabhu k bhakt hote hai fir aisa kyo?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son.
1.) Ishwar hum subke mann kee ek-ek baat ko jante hain. Parantu, jo sadhak vishesh sadhna dwara apnee panch gyanendriya aur ek mann, inko apne vash mein kar leita hai aur Parmeshwar kee stuti, prarthna aur upasana karke arthat yajyen evam yogabhyas aadi karke prasaann karta hai tub pehli baat to yeh hai ki sadhak kee ichchaiyein prayah samapt ho jaati hain. Aisa sadhak jub yajyen karta hai aur yajyen mein dharmanusar koi kamna karta hai tub Ishwar us kamna ko poornna kartey hain. Baki Ishwar hamari sub maango aur dua ko hamarey dwara hee, Ishwar ko prassann na karne ke karann aur hammari anya kami ke karann, poornna nahin karta.

2.) Prabhu ka to sub sansaar Bhakt hai aur bahut hee kum aisey hain jo nastik hain, lekin prashna yeh hai ki Ishwar kis Bhakti se prasann hota hai aur kissey prasaann hota hai. Yeh sabhi sawaal gahan hain. Bhaav yeh hai ki Ishwar nirakar, sarvashaktimaann, Nirakar, sansaar ka palan-poshann evam sanghar karne wala hota hai. Isliye ek Ishwar ki Vishesh pooja kee jaati hai.