Rashmi: Pranam guruji… Why it happens that the person who has never harmed anyone rather always helped the needy,suffers the most and the people who are shrewd enough enjoy luxuries in life.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. In the absence of knowledge of Vedas, there will always be unlimited doubts in the life. Only vedic knowledge is capable to clear the doubts of life and is capable to provide with long, happy life to an aspirant i.e., who follows the vedic path.
So, according to Vedas the sufferings are to be faced because sufferings are due to the result of our previous lives’ bad deeds. I paste one of my articles here-

Rigved 10/135/1, 2, 3, 4 ka yahi bhaav hai ki manushya ka yeh janam pichhley janam ke kiye punnya paap karmon ka phal bhogne ke liye mila hai. To jitni deir punnya karma ka phal mahina, do mahina, saal ,do saal rahega, utnee deir tak to weh manushya, is janam mein kiye paap karmon ko karta hua bhi pichhley janam ka punnya phal sukh ke roop mein hee bhogega . Jab punnya phal ka time samapt ho jayega tab weh manushya paap karma ka phal dukh ke roop mein bhogega. Yeh ved mantra, yeh bhi kehta hai ki jo is janam mein hum paap karte hain uska phal dukh ke roop mein agley janamon mein bhoga jaata hai. Isiliye log zydatar yahi sochtey hain ki kitne hee insaan paap karma karte hain lekin sukhi dikhayee deite hain. Unhein yeh maaloom nahi ki weh pichhley janam ke kiye karmon ka sukh bhog rahe hain. Iska example Ravanna bhi hai ki jab tak uska paap ka ghada nahin bhara, usnein sukh bhoga aur jaise hee paap karne ka time khatam ho gaya uskee sone ki Lanka ujad gayee.

Doosree baat yeh hai ki Ishwar bhakti ke bina koi bhi sukh prapt nahi kar sakta. isliye jo insaan aaj pichhley janamon ke punnya phal se dhan –parivar aadi ka sukh bhog rahey hain, weh bhi yadi Ishwar ki ved anusar bhakti nahi karte to dikheinge to weh sukhi par mansik dukh unhein andar hee andar sataata hee rehta hai. Isliye ved kehte hain ki manushya ka yeh janam pakar vedon ke anusar Ishwar bhakti karte hue pichhle janamon ke dukh dene wale karmon ko nasht kiya ja sakta hai aur is prakar ek lambi sukhmayee aayu prapt kee ja saktee hai.

But the present pious deeds will give the aspirant pleasure, in future lives’ not at present.

Is janam ke karmon ka phal aagey ke janamon…………..

Logon ko buery karmon ka phal is janam mein courts dwara ya panchayat dwara mil jaata hai. parantu Ishwar ka yeh niyam hai ki is janam ke kiye paap karmon ka phal weh agey janamon mein deita hai aur yeh niyam badly nahin hata. Isliye Ishwar ke niyam ko shraddha se sweekar karna hota hai. isliye bhi ved shastron mein yeh kaha hai ki hum shubh karma karein aur phal Ishwar par chhod dein. Har pareshani se bachey aur apnee raksha ke liye , ved kehtey hain ki manushya ved ke gyata vidwaan se shiksha lekar roz ved mantron se Yajyen/hawan karey.

So, we must study Vedas.

Kunal: Sadar charan sparsh swamiji.Swamiji aap vedo k wohmantra bata sakte hai jisme ishwar ne purusho ko stree ki raksha ki aagya di hai???
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beta. Matter being lengthy cannot be mentioned here. So, you are please advised to read my book- Vedas- A Divine light part III in which duties of husband and wife are mentioned. Book can be sent in receipt of your postal address, if you desire. Its price is Rs.100/-, excluding postal charges.

Anupam: गुरुजी प्रणाम। गुरुजी आप बताते है कि वेदों में ज्योतिष विज्ञान नही है।व्हाट्सएप पर आपके यहाँ से किसी ने वेदों से सम्बंधित जानकारी पोस्ट की थी।उसमें लिखा था वेद के 6 अंग है।व 6टा अंग ज्योतिष बताया था।कृपया मार्गदर्शन करें।गुरुजी आप से प्राप्त जानकारी को में ब्लॉग के माध्यम से लोगो के बीच शेयर करती हूँ।क्या में अब तक लिखे सारे मैटर के लिंक आपको व्हाट्सएप्प पर शेयर कर सकती हूँ जिससे मुझे ज्ञात ही सके कि मेरा प्रयास सही तो है।गुरुजी सीता जी के हल चलाने के दौरान मटके में से निकलने संबंधी उनके जन्म की कहानी क्या सत्य है।गुरुजी रामचंद्रजी को क्या सीता माता पर विश्वास नही था उन्होंने उनकी परीक्षा क्यों ली व वे धरती में क्यो समा गई।श्री कृष्णजी के गोवर्धन पर्वत उठाने का उल्लेख कहाँ मिलता है।राहु केतु आदि क्या है?
Swami Ram Swarup: Blessings, beti. Beti maine pehle bhi internet par baar-baar likha hai ki jo present palmistry hai, weh vedon mein nahin hai. Vedon mein jyotish se sambandhit yeh gyan hai ki prithvi, jal, vaayu, surya, chandrama aadi tatvon mein kya-kya hai aur uska theek-theek kaise prayog kiya ja sakta hai. Jaise prithvi mein koyla, sona, chandi, gas ityadi anek maanav kalyan ke liye vastuein hain, unhein khojna chahiye etc. Sita ke vishay mein jo aapne likha, weh unnatural kahaani satya nahin hai aur whatsapp to main dekhta hee nahin hoon. Han! Printed copies agar bhejna chaho to bhej sakte hain. Sri Ram ko Sita Mata par vishwas tha, isliye agni pariksha walee baat asatya hai. Weh dhartee mein bhi nahin samayee. Sri Krishna Maharaj nein Govardhan parvat nahin uthaya.

Vedas & Astrology

Present astrology to tell future etc., is not mentioned in Vedas, please. So is not authentic in learned acharyas. Vedas tell about the knowledge of planets, etc., and Planets are non-alive, which do not affect our lives as is being said in present astrology. Non-alive matters are not required to be worshipped being created by God from non-alive prakriti. Only one God who is formless, eternal, and omnipresent and who creates, nurses and destroys the universe is adorable, please.

Anupam: गुरुजी प्रणाम।गुरुजी आप बताते है कि मूर्ति पूजा की शुरुआत लगभग2500 या 3000साल से हुई है।आपने ये भी बताया कि हनुमानजी जी का वानर स्वरूप तुलसीदास जी की रामचरित मानस से प्रसिद्ध हुआ।तो गुरुजी तुलसीदास जी से पहले के समय मे भी तो मूर्ति थी तब हनुमानजी किस रूप में पूजे जाते थे।गुरुजी महाभारत काल के बाद लोगो की वेदों में आस्था क्यो कम हुईं मारकाट तो राम रावण युद्ध मे भी हुई थी।गुरुजी रावण के दस सिर से क्या तत्पर है।गुरुजी जब आप वेद मंत्रों की आहुति दाल रहे थे तो सामवेद मंत्र बोलने मेंएक जगह आपने बोला था देवी जनित या जनित्र।यहाँ देवी किस अर्थ में आया था।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Vedon mein kewal ek nirakaar Ishwar kee Pooja pramaanik hai, anya nahin. Moorti Pooja do-dhai hazaar saal se prachalit hai to iska seedha arth hai ki do-dhai hazaar saal pehle moorti Pooja nahin thee aur anya Pooja nahin thee. In prashaon ke uttar jub aap yahaan aaye the tub maine diye the beti. Phir bhi samajh na aaye to dobara prashan karein. Ravann ke dus sar se taatparya yahi hai weh bahut buddhimaan tha parantu ved vidya uske acharann mein nahin thee aur dushtataa aadi mein maahir tha. Devi etc., ka arth ved vaani aadi se hee hai anyatha vedon mein kisi anya devi-devta kee Pooja ka vidhaan nahin hai.