Sagar: Hey mantradrishtarishi aapke charnoen mein mera pranam: Yajurved mantra 40/3 ke anusaar pichhle janam mein shubh karma na karne ke karann aisa janam milta hai ki- : Andhein Tamsaha Vritaha ki inhein sampoornna aayu agyan roopee andhkar mein hee rehkar vishay vikaar aadi ka bhog bhogna hota hai athwa swayam manushya ved gyan ko paane ke avsar kho deta hai.
above is the answer given by you to one of the question asked by a devotee.related to this a question has come to my mind.
Q:agar manushya apne karmoen ke anusar apna saara jeevan ved gyaan ko paane ka ausar kho de ta hai…. toh AMRITWAANI BHAJAN mein pehla bhajan waqya janmoen mein lakar moksh path hai darsha ta.
In donno batoen mein kya ishwar inko moksha path nahin darsha ta?
Kya ishwar sampoorna manusya yoni ko ye avsar(moksha path darshana) deta hai ya phir pichle janmoen ke karmoen ke anusar?
Swamiji kshama chahta hoon prashna thikse frame nahi kar paya.
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my son. Yajurved mantra 40/3 ka bhaav hai ki weh jeevatma, pashu-pakshee aadi yoniyon ka shareer dharann kartee hai, jahaan ved ka gyan paana bilkul sambhav nahin hai. Doosra, Ishwar yadi manushya yoni mein bhi jeevatma ko janam deta hai to weh manushya ved gyan sunne ka ya gyan paane ka avsar prapt nahin karta kyunki weh bhi asur yoni hai. Moksh prapt karne ka raasta usee ko Ishwar deta hai jo adhikari hota hai. Arthat jub jeev apne karma bhogta hua, aisee position mein aata hai jahaan uske paap punya kee sankhya barabar ho jaatee hai tub Ishwar usey aisey manushya kee yoni mein daalta hai jahaan usey ved gyan prapt karne kee suvidha prapt hotee hai. Isee liye bhajan mein Ishwar ko yeh dhanayavaad diya hai ki hey! Parmeshwar aap nyay karta hain, prithivi ke aadi mein bhi aap adhikariyon ko ved ka gyan dekar unhein vidwaan banate ho aur jub-jub jeevatma adhikari bantee hai tub-tub aap usey manushya ka shareer dekar ved ka gyan prapt karne kee suvidha dete ho.

Samman: Who was Bheem?
Swami Ram Swarup: Bheem was a great warrior, having good character.

Dave: Dear swamiji pranaam. Swamiji in yajurved mantra 39/6 its said that the soul takes rebirth after 13 days. However, other vedic scholars in india argue that this mantra should not be taken literally. So my question is mabe swamiji you have mistakenly missed the idea of the mantra or maybe there is a deeper meaning to the mantra? Its because other vedic scholars have said that the mantra has deeper meaning and is not to be taken literally.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Please, send the deeper meaning.