Sida: Pranam Guruji. Guruji if a person is in any pain or problem but he still stays determined to continue his duty is not wrong na.
I mean I study while walking and it gives me some pain in my feet and back (NOT a medical problem but pain due to physical exertion), some blisters too. But I still continue to study, even though some times I get some headache but i still study and I forget about it….. I hope all these acts have nothing to do with HATH YOG, and there is no wrong if I am forcing my body and mind to go beyond its limits when doing hard work to get success.
Aapka bhaut bhaut dhanayad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. All what you have written is good but still we have to maintain our body fit to discharge our duties well. So, in case, if any problem arises in the body like headache, one must take rest and medicine. After taking rest even for half an hour then start study.

Dayashankar: Swamiji ko mera dandwat pranaam aswami main chhata hoon ki main swamiji achchha shishya banu.as a vedic rules ko follow karte huye kin-kin chunauti ka saamana karna parega aur apne guriji ko bhi riksha saku.ispar swamiji prakash daliye?
Swami Ram Swarup: Mera tumhe ashirwad. Sadaa sukhi raho. Achha shishya banne ke liye Brahmacharya ka paalan aur apni sabhi indriyon par control karne kee avashyakta hotee hai. Han! Shishya sadaa satya bole, satya sune aur satya/shubh karma ka hee aacharann kare. Woh mehnatee ho aalsi na ho. Usey Brahm gyan paane kee jigyasa honee chahiye. Sevabhaav hona chahiye. Usey vedon aur vidwanon par pooree shradha honee chahiye.

Mann, shareer, vastra aur bhojan mein swachhta honee chahiye.

Dayashankar: Guruji ko dandwat pranaam swamiji abhi 14march ko meri maa ki dath hui hai yadi guri kripa ho to janana chahata hu ki vo kis-yoni main pravesh kiya hoga secondally mukshko dwij-janam dekar dhanya kiya uskeliye hamesha rinee rahuga. guriji apki aagya ho to yagya main aana chchha hu aur apke swasthya lambhi aayu ki prathana karta hu?
Swami Ram Swarup: Mera tumhein ashirwad. Aapki mata kee mrityu ka samaachaar sunkar dukh hua. Parantu yeh aapko pata hee hai ki ek na ek din yah panch bhautik shareer tyagna hee hota hai. Mrityu par maine eek pustak likhi hai woh aap avashya padein. Apna postal address bhejein, pustak bhej dee jayegee. Janam-mrityu karmanusaar Ishwar ke hee aadheen hai aur yadi koi Yogi jaanta bhi hai toh veh is rehasya ko kholta nahi hai. Han! Atharvaved mein kaha hai ki jo parivar ke sadasya humse bichhad gayein hain toh yadi hum unke liye Yajyen karein toh us se unka uddhaar ho jaata hai isliye hum apne aur bichhde hue sadasyon ke liye Yajyen kartey rahein. Yahaan 64 din ka Yajyen 3rd may, 2015 se shuru ho raha hai. Sab shardha se aayein.