Arya Vinod: Adarniy swamiji, atmiy naman , vandan,charan-vandan…
1.meri beti(yami) 7 maah ki hai kya iska mundan sanskar 10th ya 11th maah me karwa sakte hai?
2.guruji kya apke vedmandir me namkaran aur
mundan sanskar sampann karwaya Jata hai?
3.kripaya app apni magazine(ved ishwariy vani) ke sabhi naye aur purane sets mujhe bhej deve chahe ye booklets kaphi purani ho yaa bhale hi pages jarjar ho gaye ho ya kat- phat gaye ho,iss hetu me apka atyant abhari rahunga
Swami Ram Swarup: Aap ko mera hardik ashirwad, beta. Aap sadaa sukhi rahein.
1.) Vedon ke anusaar mundan sanskar ya toh pehle saal mein ya teesre saal mein hota hai. To aap gyarahve maah mein karwa sakte hain.
2.) Han! Yahaan pratyek sanskaar ka aayojan kiya jaata hai.
3.) Aapko magazines bhej rahein hain.

Chetan: Guru ji namaste. Satyarth parkash mein yeh likha hua h ki maan uttam hai. Hamein kisi sabha mein bina puche amantrit nahi hona chaiye. Arthat jo aisa karta hai vo neech kehlata hai . vaise maan uttam hai ya nahi. Aur bhagvad geeta mein Shri Krishan ne Arjun se yeh kaha tha ki yudh se piche mat hato. Isse tumhri gouravshilta shinn ho rahi hai. Ek kirtivan vyakti ke liye uski apkirti maran se bhi badhkar hai . Tumhre jase vyakti mein yeh kami kahan se aagyi. Ise dur karo. Yeh tumhe sobha nahi deti. To guruji mujhe ye btaiye ki yeh sahi kha tha Shri Krishan ji ne. Aur hamein man apman mein saman rehna chaiye mtlb iska dil pr koi asar nhi hone dena. Iska yahi matlab hai na. Mujhe ye btaiye ki maan uttam hai ya nahi. Satyarth parkash mein yahi likha h jo maine kha h.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Paristhiti anusaar hee karma kiya jaata hai. Apne gunnon aur apne shubh karmon se Sri Krishna Maharaj ne bhi Arjun ko paristhitiyon ke anusaar theek gyan diya tha. Arjun Kshatriya vansha mein tha, Raja ka putra tha aur vedon mein kahe Raja ke kartavyon ke anusaar Raja ko praja kee raksha, shanti sthapna, nyayae sthapna aadi anek shubh karma karne ko kaha hai. Us samay duryodhan ne Pandavon kee gaddi ko zabardasti chheen kar Rajya mein nari apmaan, madira sewan aadi anek paap karma phaila diye the. Isliye Sri Krishna Maharaj ne Arjun ko updesh diya tha ki tu Kshatriya Raajvansh mein hokar yadi praja ko nyaye nahin dilayegaa to teri upkeerti hogee. Agar Arjun Brahmin putra hota toh Sri Krishna Maharaj ussey yeh updesh nahin dete.

Baaki jeevan ka lakshya, pratyek manushya ke liye Ishwar prapti hai. Aisee sthiti mein yadi koi hamara apmaan aadi karta hai to uspar dhyan na dena hee shreshth hai. Han! Agar paani sar se guzar jaye toh police aur court ka sahara lena uchit hai. Kanoon toh haath mein kabhi na lein.