Raghav: Maharaj ji k charno me koti koti pranaam. Maharaj ji guru deksha lekrr guru ke seva krne me yugya me seva krne me aur guru deksha lea bina seva krne me kya anter hai?
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my son. Vedon ke anusar vedon ke evam Ashtang yog vidya ke gyata vidwan acharya se vedic deeksha lena pratyek manushya ka kartavya hai. Ab jo ved nahi sunte unhein is kartavya ka gyan nahi hai. Vedic deeksha lekar guru kee seva , Ishwar ke banaye niyam ke anusar hai isliye punnyawaan hai aur arth, dharma, kaam , moksha pradaan karne walee hai. Anyatha buzurgon kee sewa sansarik sukh avasahya detee hai. Parlok ka sukh nahi detee . Ved marg par na chalne ke karann aisee sewa karmon ka nash nahi kartee, dukhon ka nash nahi kartee.
Dave: Dear swamiji you say that in awake state the soul resides in the left eye.so what happens if the left eye is taken out where does the soul stay then? Also, does the soul inside an animal reside in the same places as for the human? Ie left eye, heart, etc.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. If left eye is taken out yet the veins and socket remains because until the death occurs, soul does not go out of the body. Yes, please soul resides in animals in same places as in humans.
Sunil: Agar hum krishan ko bhagwan khete hain ,toh bhagwan ke liye hum toh yeh bhi kehte hain wah guruo ka bhi guru hai toh gyan ka sagar hain toh use kissi guru karne ki kya jarurth pardh gayi?
Swami Ram Swarup: Krishna Maharaj Bhagwan nahi they unhonein Mata Devki ke garbh se janam liya the aur jo mata ke garbh se janam leta hai woh Bhagwan nahi hota aur usey gyan prapt karne ke liye ved evam yog ke gyata Rishi muni kee avashyakta hotee hai.