Swetha: I am 23 years old.I want to increase my height.is there any medicine that I can rely on? Please reply soon. I am 143 cm and my parents are slightly taller than me.
Swami Ram Swarup: At this stage, when you are 23 years old, I’m sorry, nothing can be done. No doubt, uptil 25 years of age, the height can be increased. So, you must try your level best to do the following-
1.) Daily race in the morning and evening.
2.) Perform daily Pashchimauttan asan, both times
3.) Do daily Taad asan.
Hope for the best.
Yash Jain: Namastey guruji mera ye prashna he ki bhagwad gita me ye btaya gya he ki kisi ko bhi agar moksh prapt karna he to usse bhagwan ke liye karya karna chahiye toh me apse ye janna chahta hu ki esa konsa karya he jo apan bhagwan ke liye kare taki moksh ki prapti ho
Swami Ram Swarup: Namasteji. Bhagwan ke liye karya karne ka updesh, Bhagwaan ne swayum vedon mein varnnan kiya hua hai. Aaj dukh kee baat hai ki manushya jaati ne vedon ka sunna-sunaana aur vedon mein kiye huye updesh par acharann karna chchod diya hai . Isliye sampoornna sansaar mein asantosh, hinsa aur dukh ka vaatavarann ban gaya hai. Vedon mein Bhagwan ne kaha ki tum vidwanon se vedon ko suno, rozana ved mantron se Yajyen/agnihotra karo, mata-pita, gurujanon kee sewa karo unse vidya laabh lo, meethi vaani ka prayog karo, krodh na karo, buraiyan (kaam, krodh, lobh etc.) ko chchod do, yogabhyas karo, Ishwar ke naam ka jaap karo etc., yeh sab karya Bhagwan ke liye hee hote hain, yeh uskee Pooja hai. Vedon mein Bhagwan ne updesh kiya hai ki Ishwar nirakaar hai aur nirakaar kee Pooja ka updesh kewal vedon mein hee hai. Isliye jub hum Ishwar se utpann vedon ko vidwanon se sunte hain jo ki swayum Ishwar ne agya dee hai to yeh Ishwar kee Pooja hai. Pooja arthat aadar, maan, sammaan. Vedon mein kahee pratyek agya kaa paalan karna Ishwar kee Pooja hai. Aap nazdeek ke Arya Samaj mein jaakar kisi vidwan se sampark karein aur unse vedon kee shiksha grehan karna prarambh karein.