Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी मैने vedas a divine light के 5 भाग मे पढ़ा कि विवाह से समय कलश भरकर रखा जाता है व रोली से वेदी सजाई जाती है।इसका क्या प्रयोजन होता है।गुरुजी वैसे तो मैं आपके प्रवचन सुनती हूँ जिनसे कुछ वेद मंत्रों के अर्थ समझ आते है।इन्हें स्वयं से पढ़ने के लिए क्या प्रक्रिया अपनाई जाए।गुरुजी मनुस्मृति कब लिखा गया था।
Swami Ram Swarup: Ashirwad beti. Paani ka ghada isliye bhara jaata hai ki in case aag lag jaaye to us paani se fauran bujha dee jaye. Ghade mein panee rakhne ka aur koi prayojan nahi hai.

Roli se vedi kee sundarta badhtee hai isliye sajai jaatee hai. anyatha gandharva vivah mein na to roli hotee hain na vedi na agni. Manusmriti to prithivi rachna ke arambh mein hee likhee gayee thee aur jaisa niyam hai kuchh ved mantron ko pehle guru ke mukh se suna jaataa hai, shiksha lee jaatee hai, phir uchcharann karo, isliye adhik nahi to kam se kam 2-3 din ke liye yahaan ved mandir mein pati sahit aao aur uchcharann karne kee vidhi seekh jao.

Neena: Maharaj ji. namaskar.. apke charno me pranam.. please ap apna contact number dedijiye.. or address bhi.. apke pass ana hai plzzz…
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad beti. Beti (name and number of disciple given) mere sath yahaan ved mandir mein rehte hain sab kaam sambhalate hain. Aap unse mobile par yahaan ka poora address aur aane ke vishay mein sab pooch lo. Yahaan boarding and lodging free hai.