Anupam: Guruji sadar pranam.guruji aaj mujhe magazines prapt ho gai hai bahut bahut dhanyabad.guruji baki pustake aap kab tak bhejenge.aapki sabhi pustake bahut hi gyan vardhak hai.guruji pransh ke utter jaldi janne ki iksha se kabhi prashn Whatsapp per bhej deti hoo.uske liye sorry. Guruji apne ramayan path me ram v sita dwara upvas rakhe jane ka ullekh kia.iska arth ki upvas rakhna vaidick parampara hai.guruji upvas kab v kis prakar rakhne chahiye.guruji april v october me durga ma ki puja karke 9 kanyao ko jo bhojan karane ka vidhan hai ab man me prashn khate karne laga hai jab tak nahi pata tha ye puja shradha se karti thi ab ise kis roop me dekhoo.guruniaapne athaveda ke ek mantra ka ullekh karte hue likha hai kisi ke ptashn ke utter me ki saap bichhu macchar aadi jo hame nuksan pahuchate hai unhe marne me koi dosh nahi hai to kya cheete cheeta jo jab katte hai to unhe marne se dosh lagega kya.kya kutto ko ghar per palna chahiye.guruji karm phal vigyan ko janne ki bahut ikcha hoti hai .kya aapki koi pustak is vishay per hai.isko janne ke liye mene you tube pet vaidik gyan ke kuch pravachan sune.usme bataya ki kisi ki mratu bhagwan ki or se nishchit nahi hoti .aap apne acche or bure karmo ke aadhar per ya sahi or galat tareeke se jeene ke anusar use ghata bada sakte hai.guruji kya ye sahi hai.sab to yahi kehte hai ki bhagwan ke yaha 1 1 saans ka hisab hai.uski aagya ke bina patta nahi hil sakta .guruji sach kya hai.guruji apke utter v apka sahitya se meri ayanta samapt ho rahi hai.mujh per apna aashirvad banaye rakhe v mera margdarshan karte rahe.aapke darshno ki hardik abhilasha liye apki beti anupam.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. You are welcome, beti. Navratri mein Durga Pooja aadi ka vidhaan ved virudh hone ke karann pramannik nahi hai. Isliye vidwaan isko sweekar nahi karte. Isliye nine kanyaon ko in dinon bhojan karana bhi vedon mein nahi hai. Yadi ghar mein cheenta etc., ho to unhein maarne mein dosh nahi hai. Yadi kisi ko dogs paalne ka shaunk ho to weh kutta paal sakta hai lekin safai ka dhyan rakhein.
Han! Yeh sahi hai ki manushya apne achchey-burey karmon se mrityu ko badaa aur ghata sakta hai parantu aayu badaane ke liye Vedic shubh karma anivarya hai isliye vedon kee shiksha leni chahiye aur aayu ghataa ne ke liye ved-virudh paap karma kiye jaate hain. Parantu her haalaat mein karma phal Ishwar hee deta hai. I paste my article in this regard as under-
Three types of Deeds
There are three types of deeds (karmas) – sanchit, prarabhadh and kriyamann. Suppose one soul has to take birth (body). It means he has to face total number of deeds of his all previous lives and these deeds are called sanchit karmas but sanchit deeds are huge/unlimited and cannot be faced in one life. So the karmas which can be faced in one life are called prarabhadh (luck-destiny). So God has not made our luck at His own but Almighty God has considered the deeds which we have already done.
Yajurved mantra 7/48 clarifies that human being is free to do any deed good or bad but God only awards the result. Now the balance deeds from sanchit deeds will be counted in the next life. Now the deeds which we do in our day today present life are called kriyamann.
If we do pious deeds according to Vedas, shastras and holy books and based on pious preaches of Rishi, Muni/learned saints then our all sanchit deeds are burnt and we can get salvation. Human beings are free in the matter of doing deeds good or bad. But result will be awarded by God. So we must worship and do pious deeds under guidance of a learned Guru. One should go always ahead for hard working, pious deeds, worship to make future bright himself. One should always work hard towards a right path.
Worship does not mean that we are free to discharge only our family duties, education, etc., but rather it is a sin. We have to get progress in both way simultaneously i.e., spiritualism and worldly progress i.e., science, education, duties towards family etc. God creates the universe according to His eternal law framed in Vedas which are always unchangeable and unchallengeable. So we have to follow the law of God always to get long happy life.
Upar wale kee marzi ke bina koi patta nahin hilta, iska matlab yeh kaha gaya hai ki Ishwar srishti banaa kar jub us srishti ke kann- kann mein samaa jaata hai, tabhi vaayu baehne lagti hai, peid podhey aur unke patte hilne lagte hain, nar-naari, pashu-pakshi, surya, chandrama aadi sabhi srishti ke padarth apne apne karya karne lagte hain. Agar Ishwar sansar ke kann- kann mein na samaye to pora sansar patthar kee tarah jadh banaa rehta hai, usmein koi chetna nahin hotee. Ved shastra kehte hain:-
Swatantrah karta.
Arthat manushya paap punnya karne mein swatantra hai parantu paap-punnya karma ka phal, hamesha dukh aur sukh ke roop mein Ishwar deta hai, isliye hum sadaa paap karma se bachein aur ved marg par chalkar sadaa shubh karma hee karein. Isliye burey karma karne kee prernna Ishwar nahin deta balki hamara mann hee hamein burey karma karne ke liye uksata hai. Atah hamein vedic sadhna se mann ko control karna chahiye.
Anonymous: Swami ji pranam. What do vedas say on adopting a child?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedas state that a child of other families etc., should not be adopted.