Tarun: Maharaja ji pranam. Was Rameshwaram jyotirlinga established by Sri Ram?

Swami Ram Swarup: My blessings to you. Valmiki Ramayan is an authentic religious book for Hindus. In the said Ramayan, your statement does not exist. No more comments can I give.

Rajat: Guru ji, kya kali avtaar ka zikr vedas me hai? Kya kalki avtaar kulyug ko khatm kare ga?

Swami Ram Swarup: Nahi beta kalki avtar ka varnnan vedon mein kahin bhi nahi hai. I paste, I paste my article in this regard:-

Vedas never promote avtarwaad, God being formless and Almighty. Being Almighty, He does not need any assistance of any kind from anybody, to control the universe and punish the culprits. Secondly, in Vedas, God has not used proper noun. In this connection, I paste my article as under-

Vedas have never been written by anybody. As per four Vedas like Yajurveda mantra 31/7, the knowledge of four Vedas emanates direct from God at the beginning of the earth and is originated in the heart of four Rishis. Vedas, contain knowledge of science, about deeds and worship but Vedas never tell any story or any proper name etc. Please read the article ‘Vedas’ Philosophy’ for your knowledge.

It is hundred percent clear that no veda tells about son of God etc. Vedas tell, he is the son of God, who is a philosopher of Vedas and Ashtang Yoga Philosophy and has controlled his five senses, five perceptions and mind, he always observes truth in mind, speaks truth and all his actions are based on truth. And therefore Vedas too never speak about Kalki avtar etc.

Such description has also not been given in Vedas, shastras, upnishads, Valmiki Ramayan, Mahabharata, Geeta etc.

Anonymous: Pranam guruji. I am having serious problems in family since last year. Ek sath itni problem se mera pura parivar Tut Gaya. Aisi halat dekh kar kuchh logon ne bataya ki koi koi buri Shakti ka chakkar hai. Lekin guruji ham logon ka yah manana hai ki ki Bina Ishwar ki marji ke kuchh nahin hota yah acchi shaktiyan buri shaktiyan kuchh banaya bigaad nahin sakti Bina jab Tak ki Ishwar ki ichcha Na Ho. Tab se aaj tak mera pura parivar dukh mein hi hai. Ham sab Ko nirdeshit karne ki kripa Karen pranam guruji

Swami Ram Swarup: Anonymous beta kisi bhi pareshani mein pareshan nahi hona chahiye, na chinta karnee chahiye, kewal Bhagwan par bharosa rakho, sab theek ho jayega. Ab bhagwan par bharosa rakhne ka matlab yeh nahi hai ki bas bharosa rakho. Bharosa rakhne ka arth hai ki jo vedon mein Ishwar ke banaye niyam hain, Ishwar kee aagyayein hain unka paalan karna tatha sab karmon ka phal Ishwar par sonp dene ka arth hai Ishwar par bharosa rakhna .Sabse badi agya Ishwar ne vedon mein yeh dee hai ki pratyek nar-nari bachpan se hee vedon ke gyata vidwan se deeksha lein, samay milne par unke nivaas sthan jaakar unse ved sune, Yajyen Karein is agya ka paalan karne se hee sab musibaton ka nash ho jaata hai. Ved mein Ishwar ne samjhaya hai ki dukh hamare pichhle kiye hue karmon ka phal hee hai jo Bhagwan hamein deta hai aur koi nahi aur na hee koi Bhagwan ne koi buree Shakti, bhoot pret tantarik aadi raste banaye hain ye sab jhooth hain. kyunki inka varnnan vedon mein nahi hai. Aapne agar deeksha lee hai to aap nitya ghar mein dono samay agnihotra shuru karo. Mera ashirwad hai, sheeghra hee sab theek ho jaayega aur mujhe likhte rehna.

Ashish: Yes swamiji, I have received the book. Thank you so much.

Swami Ram Swarup: My blessings to you, beta.

Tushar: Where will I get learned guru in Kolkata? I don’t have any connection. Will you help me please?

Swami Ram Swarup: Sorry, I do not know about learned Guru in Kolkata. You will have to seek the Guru at your end.