Vijay Bahadur: Ram charitra manas me totel kitni chaupai hai?
Swami Ram Swarup: Yeh ek lamba karya hai aur main adhyatmikwad mein dinbhar itna busy rahta hoon ki kshma chahta hoon ki chowpayee kee gannna main nahi kar sakta.

Ankit: Namasta maharaj ji. Maharaj ji hawan krta time agar hum hawan kundh tak nhi pahunch skta toh kya hum samagri ko ek empty plate ma dal skta ha . Aur last ma woh samargri ko hawan kundh ma dal deh.yeh pap toh nhi ha.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Han! Empty plate mein samagri daal kar last mein havan kund mein daal sakte hain.