Harish: Guru Ji Pranam, Kindly tell the complete meaning and idea of Atharvaved mantra 12/1/12. Pranam Guru Ji.

Swami Ram Swarup: My blessings to you. (Prithvi) He Prithvi! (yat) jo (te) tere (Madhyam) karma hai (cha) aur (yat) jo (nabhyam) Kshatriyon ka hitkaari karma hai aur (Yaha) jo (urjaha) baldayak ann aadi padarth (Te) tere (Tanvaha) shareer se (Sambabhuvuhu) utpann hue hain (taasu) un sab ke bhitar (Naha) humko (Dhehee) tu rakh aur (Naha) hamein (Abhi) sab aur se (Pavasva) shudh kar ( Bhumihi) bhoomi (Mata) meri mata tulya hai (Aham) main (Prithviyaha) prithvi ke putra ke samaan hoon (Parjanyaha) Seenchne wala megh (Pita) poorna roop se pita ke samaan hai arthat varsha aadi dwara ann-jal dekar mera paalan-poshan karne wala hai. (Sah) weh (u) bhi (Nah) hamein (Pipartu) poorna karey.

Bhavarth- Prithvi jad tatva hai. Mantra mein alankaar roop se prarthna hai ki Hey Prithvi! Jo tera karma arthat amaithunee srishti mein mata ke samaan tune hamara Vanaspati se paalan-poshan aadi kiya, jaise mata-putra ko janam dene ke pashchaat dudh wale stan parshva se dhak detee hai, aise tu bhi Vanaspati yukta parshva se isey dhak detee hai. Bhaav hai ki Ishwar manushya ko janam pradaan karke aisee vyavastha karta hai ki prithvi mata manushya ke shareer ka aushadhi se poshan kartee hai. Isee sab kriya ko yahaan prithvi ka karma batayaa hai. Prithvi ke anekon karma hain jaise- ann, phal-phool, Vanaspati aadi utpann karke dena. Prithvi mein sone-chandi, koyle, gas aadi kee khaane hain, prithvi par hum sab basey hue hain etc. Doosra yeh hai ki hum prithvi mata se sab ann aadi grehan karke (Urjaha) bal prapt karke teri raksha karein. Yeh kshatriyon ka dharma hai. (Taasu naha dhehi) ka bhaav hai ki prithvi jad padarth hai, weh hamein in gunon se bharpur nahi karegee prantu prithvi hamein basaye hue hai, ann-jal aadi anek padarth dekar hamein jeevit rakhtee hai. Atah prithvi kee aisee sahayta prapt karke hum aantrik aur baahri shatruon se prithvi mata kee raksha karein aur prithvi maa ke prati aisa vichaar rakhe ki prithvi mata kee den dwara hee hum jeevit hain.

(Abhi pavasva) sub aur se shudh kar. Iska bhaav yeh hai ki hum prithvi par bane ghar, makaan, khet-khalihaan aadi samasta bhoomi ko swaschhtaa pradaan karein aur swayum bhi swasch rahein.

Prithvi par anetik karya na karein.

Prithvi meri mata hai aur main prithvi ka putra hoon. Iska bhi bhaav yahee hai ki amaithunee srishti me bhi issee prithvi ne hamein mata ke samaan sahara diya, hamara palan-poshan kiya aur ab bhi weh hamara sahara hai, hamara paalan-poshan kartee hai. Is liye main putra roop mein uskee raksha karoon. Seencne wala megh pita ke samaan hai. iska bhaav hai ki pita paalan-poshan karta hai. yadi megh na barsey aur varsha na ho tub jal ke abhaav mein koi bhi praani jeevit nahi reh sakta. Isliye Megh (aakash) hamare pita ke smaan varsha barsaakar ann, jal, phal, doodh, ghee, sab bhojya padarth utpann hotey hain, jisse pranni ka palan-poshan hota hai, weh jeevit rehta hai.