ABC: Namaskar Swamiji. aapki site main padti hun yahan se bahut gyan aur shanti prapt hoti hai. havan bhi shuru kar diya hai.aapne kai prashanon ke uttar mein kaha ki shadi se pahle dil dena paap hai. meri ek friend hai jo kisi ke sath pichhle 5-6 saalon se friendship mein hai, physically nahi. ab koi 2-3 mahino se kisi aur kee taraf jo ki amir hai,gaadiwala hai attract ho gai hai. pahlewala ladka yeh jante huye bhi usey chahta hai par meri freind ka dil ab nahi hai to Swamiji main yeh puchhna chahti hun ki meri freind pahle ladke ko chhodkar theek kar rahi hai kya? jisey aapne 5-6 saalon mein dil mein jagah dee aur chhod dena kya yeh theek hai ………………. bahut hi ajeeb sa lagta hai. ek baar kisi ko dil de do, vade karo aur fir badal jao.waise to aapki site par likha hai shadi se dil na do par ab is situation mein kya theek hai Swamiji pl., aap vedon se iska uttar dein. bahut bahut dhanyawad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Thank you, beti. Main aapko dhnyawaad aur hardik ashirwad deta hoon ki aapne hawan karna shuru kar diya hai. Kyunki hawan karne kee agya vedon mein swayam Ishwar ne dee hai.

Dekho beta, agar woh ladki pehle ladke se sirf dost kee tarah rehtee thee aur ladka bhi usey dost maanta tha, koi physical nahi tha to agar woh ladkee pehle ladke ko chhod detee hai to ismein burai kya hai aur phir woh pehla ladka us ladki se abhi bhi pyar kyun karta hai . asal mein baat kuchh gadbad hai beti. Nahi to pehle ladke ko ladkee se pyar karne ka koi matlab nahi hai. Aur doosree baat yeh hai ki agar woh ladkee doosrey ladke se paison kee wajah se chahtee hai to uska yeh chahna bhi ek din jaldi hee khatam ho jayega kyunki sachchi dosti aur sachcha pyar atma se hota hai, paison ka mohtaj nahi hota. Aur vedanusar yahi theek hai ki woh ladkee donon ladkon ko chhod kar apne mata-pita ke ashraye mein hee rahey aur jub shadi karney ka samay aaye tub hee achcha var dhoonda jaye pehle nahin.

Dave: Swamiji what method do you use for understanding the ved mantras? The reason I ask is that there are methods such as the rudhi method which is incorrect for interpretation of vedas.
Swami Ram Swarup: Vedas are only understood by following traditional method. In this method, daily practice of Ashtang Yog, name jaap of God, performance of daily agnihotra with ved mantras and study of vedas under the guidance of learned acharya of Vedas and Ashtang Yog is essential.