Seeker of Truth: Namaste swami ji, Yadi kisi ko ishwar ka pratyaksh ho gaya ho lekin baad mein kisi ke galat updesh ke karan vo yog siddhi chali jaaye to dobara yog hone ke liye kya karna chahiye?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Ishwar ka pratyaksh ved vidya sunnein , usko jeevan mein Utarane, uske anusar Yajyen, Ashtang Yog sadhna karne ke pashchat kisi birla Yogi ko hota hai aur jab ek baar darshan ho jaye to phir us Yogi ke hridaye mein koi sanshaye nahin reh jata aur na weh dubara kisi vikaar mein phansta hai. Doosra, Ishwar ka darshan in Bhautik aankhon se nahin hota. Isliye galat updesh ka to koi sawal hee nahin hota kyunki yogi ko galat aur theek sabka gyan hota hai aur weh theek hee theek ko grahan karta hai, galat ko kabhi grahan nahin karta.

A P S: Kya ek mahila bhi Napunsak hoti hai/kase?
Swami Ram Swarup: Abhi tak aisa case nahin aya ki koi mahila napunsak ho, han! Baanjh to ho jaati hai.

Manuel: Dear Swamiji, How are you? This is Manuel from Spain. It has been very long since I last wrote to you, so I wanted to let you know that all is well. (more details provided).
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my son Manuel. We also have been remembering you several times. Please, also covey my blessings to your wife. Your views are heart-feeling. Your job according to you and me also is a good job to give the benefit to the needy. You also know that you have entered the family life. As per Vedas also, you have to get progress in worldly pious affairs as well as spiritualism, simultaneously, which you are doing now. So, never think that anything in the world, including your services and family life are not needed. You have to get progress in your family life and in the family life, earning is must which is also told in Vedas. However, one should control one’s senses to further control unnecessary desires. In my opinion, you are doing well now. Please, continue your hard work to get progress as advised above. Again, my heartiest blessings to you, both.

A: Pujya Guru Maharajji, Aapke charno mei shath shath Pranaam! Aapke kripa se hum sab yaha par kushal hai Guruji. Aapke aur Eshwar ke apaar kripa se mera job bahut accha chal raha hai. Guruji ye aap hee ki kripa hai jo mei ghar aur office dono sambhal paa rahi hun. Mei ne kabhi nai socha tha ke mujhe apne ghar ke ek dam 50 feet ke doori par job lage gi aur salary bhi bahut acchi mil rahi hai. Aap nahi hote Guruji hum sab ki zindagi mei, toh hamari zindagi barbaad ho jaati. Har kadam par aap hamesha hote ho humei sambhal ne ke liye Guruji chahe hum aapko yaad karen ya na karen. Aap toh har pal saath hote ho and which we don’t realize sometimes. Bas ye prarthana hai humei sadd buddhi dena Gurudev taaki hum bhatak na jaayen. GuruMaharaji aap se ek prashn puchna hai. Mere ghar ke ek dum diagonaly opposite 20 feet ke duri par mobile ka signal tower hai. Aur internet par aur paper mei pada thaa ke jis locality mei ye towers hote hai uske radiations ke wajah se cancer ki bimaari ho sakti hai. Aise towers bangalore mei bahut si jagao mei residential areas mei hai. Guruji, toh humei kya karna chahiye aur kya saawdhani bartna chahiye. Kripa karke hamari ye pareshani dur kijiye……. Dandwath pranaam! Aapki sishyaa.

Swami Ram Swarup: My blessings to you all, my daughter. I am proud of you, my daughter for the hard-work for family. Please, go ahead. I am always with you all. As regards tower, you need not to worry because daily agnihotra subsides the radiations. Again, my blessings to you all.