Me: Query: Pranaam Swamiji. Mai ek student hu swamiji or mera question student life se hi hai. Swamiji jab hum professional education me jate hai class 12 th k baad graduation karne k liye to hamare life style me bahut bda change ata hai. Hame dusri gender Ke Logo ke sath rah kar mix hokar or group me rah kam kaam karna padta hai. Or svhabhavik hai ki unse dosti bi hogi or miljulna baatvkarna bi lga rahta hai. To swamiji mera question ye hai ki hamara behaviour kaisa rahna chahiye unke prati q ki hm jante hai dosre gender ke logo ke prati different types ke thoughts ana natural hai or vo naki keval distraction ka karan bnta hai or hmari padhai pe bi asar karta hai. To veda anusar kya sahi hai… swamiji…hm unko neglect bi ni kar sakte or mil ke rahengay to problem hai. To kare swmiji veda anusar kya ye system shai hai aise padhai ka… or mera behaviour kaisa rahna chahiye. Mai to swamiji kaam bhar ka connection rakhta hu baki samay dharma ka palan. Ap hi batao swamiji mai karu. Margdarshan kariye mera. Namah Shivaaye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, buzurg keh gaye hain-

“Gar aag ke paas baithogey jaakar,

Ek din uthogey kapadey jalaakar”

Isliye co-education mein beta-beti donon ko saavdhaan rehne kee zaroorat hai ki voh kewal achche dost banker rahein. Vedon mein to co-education allowed nahin hai lekin ab zamana badal gaya hai. Ved vidya ka surya asta praya ho gaya hai. Manushya dhan ke pichchey bhaag raha hai aur ved, shastra, Ishwar ko ignore kar raha hai. Neta log ved-Shastra jaante hee nahi. Unhe bhi kisi bhi tarah kewal satta hathiyaane kee padee hai. Atah dharma par achcharann lupta prayaha hota jaa raha hai. Phalswarup aaj ka manav naye zamane ke saath chalne par majboor ho gaya hai.

Isliye co-education to rahegee hee. Iskee burayee ko beta-beti Brahmacharya drid rakhkar bhai-behno aur achche doston ka farz nibhaate hue apne charitra ka nirmaan karein aur kathor parishram se padaaee karke desh ka bhavishya nirmaan karein.

Isliye aapka bhi behavior Brahmacharya drid karte hue vishaye-vikaaro aur gandee society se door rehte hue achcha hona chahiye aur mehnut se padai karnee chahiye. Mata-Pita kee aashaaon ko poorna karna chahiye aur dharma achcharann par drid rehna chahiye.

Mera aapko hardik ashirwad beta. Aap jaise suputra hee bharat varsh ka ujjawal bhavishya hain.