KK: Maharaj ji pranam . Mera ek qus hai maine aapeki ramayan suni mere dimage mai hmesa se ek qus aata hai. Ram ji kya janam se phele bhi wo samadist the. Ya fir jb unhone ram ke rup mai janam liya tab sadana dwara samdisht hue.. Kya sita ji bhi samadist thi.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Jab janam lekar hee koi ved marg par chalkar Ashtang Yog aadi kathor sadhna karke Indriya sanyam evam satyaacharann aadi dwara Samadhi prapt karta hai. Yadi pahle janam mein Samadhi prapt ho jaye to phir doosre janam kee avashyakta hee nahi rehtee. Halanki Valmiki Ramayan Sita hee ko Samadhi prapt naree nahi kehtee parantu Sitaji ke gunn, karma, swabhaav evam pativrat dharma aadi aise gunn the jinke dwara nari Samadhi avastha prapt karti hai.