Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी मैंने एक लेख मैं पढा की संतान कई प्रकार के स्वभाव वाली पैदा होती है हमारे कर्मो के अनुरूप।जैसे यदि किसी का पहले का कर्ज चुकाना है तो वह ऐसी संतान के रूप मे आएगा जो सदैव लेता रहेगा।यदि हम ने किसी को कर्ज दिया है पहले जन्म मैं तो वह वो कर्ज चुकाने के लिए आएगा।यदि हम किसी की सेवा करके आये है तो इस जन्म मैं सेवाभावी संतान मिलेगी आदि आदि।गुरुजी क्या ऐसा वेदो मैं उल्लेख है।
Swami Ram Swarup: Ashirwad beti. Karza ka arth hee yahee hai ki karma phal bhogne ke liye janam hota hai. Aur koi karza nahi. Aaj kal alankarik bhasha mein apnee marzi se hum karza keh dete hain. Isliye vedon mein yahee atal niyam hai ki manushya ka janam pichhle janamon mein kye paap athwa punnya karmon ke phal ko kramash dukh aur sukh bhogne ke liye hota hai.

Birmal: Swami ji ap jante he ki bahut si dharam he ap kiso ko mante he ap ka guru ji kaun he?
Swami Ram Swarup: Ishwar ka banaya hua duniya mein ek hee vedic dharma ahi aur vedon mein dharma ka arth kartavya karama karna kaha hai isliye jin karmon ko karne kee agya hum manushya jaati ko dee hai, un shubh karmon ko karne ka naam dharma hai. Un karmon ko karne se hee dukhon ka naash hota hai aur jeev ko sukh milta hai. Baaki jo dhrma hai, weh insanon ne khud banaye hain jo ki vedon ke anusar pramannik nahi hain.