Pradyumn: Dhnyawad swami ji kabhi sambhv hua to aapse milne aur sikhne ki bahut ichcha hai mai vaidik padchinho pr chalna chahta hu lekin sanchit karm fal ek badi badhaa ban rahe aur samsyaye khadi kar rahe ….. parmatma mujhe antrik prerna deta rahe aur aap jaise vaidik sansyasiyo ka margdarshn milte rahe …… vartman me ved mulyo ko bchane pr un par chalne par bahut samsyaye aati hai swashty se lekr ghar pariwar se lekar jivika sabhi aaj viprit hai vaidik mulyo ke ……. bahut dukh hota hai mujhe ki is vrtman system ke karan aaj parmatma ke maarg par chlne me itni samsyaye aa rahi jabki hamare vaidik kshatriy sahit sabhi mahan samrato ke samy in mulyo par chalna aasan tha ……
Swami Ram Swarup: Ashirwad beta. aapke vichar sarvottam hain ki aap vedic marg par chalna chahte hain. Vedic marg Ishwar ka banaaya hua hone ke karann vishwa mein sarvottam marg hai. Is janam mein yadi koi ved evam yog vidya ke gyata, tapasvi se vedic deeksha prapt karta hai jismein weh ved sunta hai, nitya agnihotra donon samay karta hai, Guru ke niwas par jaakar yajyen mein baithkar vedon ke arth, bhaav sunkar chintan manan karta hai, nitya Ishwar ka naam jaap karta hai tab prarabdh aur sanchit donon karmon ka nash prarambh ho jaataa hai isliye sanchit karmon se mat daro apitu vedic shubh karma karne mein aage bado kyunki Yajurveda mantra 40/2 spasht updesh karta hai ki yadi koi jigyasu vedic shubh karma karta hai to weh paap karma mein lipt nahi hota. Aur phir vedmarg par chalne se Ishwar saaree samasyaon ko smapt bhee karta rehta hai. Hamare vedic marg par chalne wale Kshatriya mein Manu Bhagwan, Kshipt, Vikshipt, Yayati, Kuru, Puru, Raja Harishchandra, Ashtak, Aj, Dashrath, Sri Ram, Sri Krishna Maharaj ityadi anek Raja aur lagbhag panch hazaar panch sau varsh pehle antim Raja Pandav aur unke pautra Janmejay hue hain. Inheen ke samay ved ka surya pooree prithivi par prakash de raha tha aur agyaan andhvishwas, thothe karma kandon aadi ka naamon nishan na tha, vedmarg par chalna sulabh tha. Aaj vishwa ka koi bhee neta ved vidya ko nahi jaanta, isliye neta bhee dukhee hain aur praja bhee dukhee hai.