Anonymous: Swami je pranam is baar main aapko bahut dhanyvaad dena chahta hun prashno ka uttar dene ke lie? Darasal meri ruchi ved panda me hai maine kai pandit on ke ved bhashya pade hain sabki alag alag vyakhya hai ek mantra ki aisa kyu swami jee? Aur swami apase se ek request hai ki jawab thoda jaldi bhejein dhanyaad? Aur aapka ek our baar shukriya ved vidya ka prachar ke liye
Swami Ram Swarup: Dhanyawaad Beta, mera tumhein hardik ashirwad. Prashan karne ka aapko poora adhikar hai, sadaa sukhi raho. Aur aapka yeh vichaar sarvauttam hai ki aapko ved padne kee ichcha jagrat hue hai. yeh Ishwar kee aapke upar sabse badi kripa hai kyunki vedaadhyayan se gyat hota hai ki hum sab ka janam ved ke vidwan ke ashray mein rehkar vedaadhyayan evam vedon ke anusaar Ishwar kee stuti, prarthna, Pooja aadi karna hai. Jo hum aisa na karein to spashta hai ki Ishwar humse naraaz hokar dukh deta hai aur pratyaksh mein dikhai deta hai ki weh sansaar mein dukh diye jaa raha hai. Apne-2 matanusaar aur buddhi anusaar manushya vyakhya kar deta hai parantu pramaanik ved vyakhya usee kee hai jo mantra drishta Rishi hai. Mera tumhein ashirwad.