PR: Guruji Charan sparsh. Kuch din pahale apne ek office ke colleague se ved mandir or aapke bare me pata Chala. Vo or unki family bahut salon se aapse jude hein or ved marg par chal rahe Hein. Mein bahut salon se bhatak rahi magar kabhi Shanti nahi mili or na he ishwar ke bare me jaan pae.Janam or maran ke chakravuh se nikalne ke Mann me hamesha teevr echcha rahi hai. Abhi is pariwar ke maddad or Gyan se meine havan shuru keya hai. Mein moh Maya me na fanskar sahi Marg pe chalna chahati Hoon. Aaapke pravachan sun rahi Hoon purani recordings se or aapse deeksha lena chahati Hoon. Aap se Gyan lekar jeevan dhanya hoga. Mujhe is amulya jeevan ko ishwar Marg pe chalne ke leye guide Karen. Pranam.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Aapke vichaar prashansa ke yogya hain kyunki aaj ke bhautikwaad kee chamak-damak mein prayaha manushya ved marg ko aur Ishwar ko bhoolkar dukhi hai. Deeksha lene ke liye to beti aapko yahaan ved mandir mein aana padega. Saath mein aapke pati athwa mata-pita koi bhi avashya laayein. Deeksha dene ke pashchaat vedon se brahma vidya kee shiksha prarambh hotee hai. Ishwar aaapkee kaamna avashya poorna karega. Prerna beti, mera tumhein phir se bahut ashirwad.

आर्य विनोद: पूज्य गुरु महाराज , आत्मीय नमन , वंदन , चरण – वंदन. . . . महाराज जी स्वामी दयानंद सरस्वती जी ने आर्य समाज के तीसरे नियम मे लिखा की –

” वेद सब सत्यविद्याओं का पुस्तक है। वेद का पढ़ना-पढ़ाना और सुनना-सुनाना सब आर्यों का परम धर्म है।”

. . . . . तो क्षमा करे गुरुदेव , यहाँ पर मेरे मन मे निम्न प्रश्न उठ रहे है , कृपया मेरी शंका दूर दीजिये : –

1. यहाँ स्वामी जी ने वेद को पुस्तक क्यों कहा है जबकि मैंने आपसे यह ज्ञान पाया की वेद तो वह है जो ऋषिमुख से सुने जाते है और ईश्वर स्वयं ही ऋषि को अंदर से बुलवाता है . . मे लिखा , इसमे स्वामी जी का क्या भाव है , जबकि मैने इस विषय मे आपसे यह ज्ञान पाया की वेद तो सुनने की ईश्वराज्ञा है और पहले वेद सुनने चाहिये फ़िर बाद मे पुस्तक से पढ़ना चाहे तो पढ़ सकते है . . .

2. आर्य समाज के उपर्युक्त नियम के आधार पर मैने जितने भी आर्य समाज के विद्वानों के प्रवचन सुने , उनमे मैने यही बात ज्यादातर सुनी की वेद की पुस्तकें खरीदो , उन्हे अपने घरों मे लाओ , वेद – पढ़ो, वेद – पढ़ो , वेदों का स्वाध्याय करो , आदि – आदि . . . . तो गुरुदेव क्या ये सब बाते वेदों के खिलाफ है , क्योंकि स्वामी दयानंद जी ने जो नियम लिखा वह प्रथमदृष्ट्या तो सीधे – सीधे देखने पर वेद को पढ़ने की ही शिक्षा देता है ..

Swami Ram Swarup: Mera tumhein ashirwad, beta.

Jo mujhe gyan tha, weh maine aapko pehle hee ved evum kapil Muni ke Sankhya Shastra ka pramaan dekar bataa diya hai. Swami Dayanand Saraswatiji bhi vedon ke mahaan gyata hue hain, unhonein apne vichaaron dwara yadi vedon ko pustak kaha hai to aap Arya Samaj ke vidwanon se iske baare mein apnee shanka samadhaan kar sakte hain. Baaki aap yahaan aakar mujh se vichaar-vimarsh kar sakte hain.