Ashtabhuja: Dear Sir, Vedic Pravachan Sangrah – 1 is already received by me. But “Manav Dharma Shiksha” is required.
Swami Ram Swarup: I am sorry, the book- Manav Dharam Shiksha is out of stock. We are trying our level best to reprint it. My blessings to you.

P A: Namasthe Guruji, Ek swapna ka bhare mem poochna chahti hum. please muje uska arth batake dijiye. Mem Bhagawat Gita Seekhi hum. Usme ka thathwam ek kudumbini hoke bhi jithna muje follow kar sake karti hum. mala jap, pooja, satsangh mem jana eisa mujse jithna hote karti hum. on 6th August, 2013 in between 3.45am to 4.00 a.m. ye samay (Brahma Muhurtham) mem ek swapna dekha. Shiv Lingh dikhayi diya. uske samne ek jinda snake apna sir hilake khada dha. uska right side mem meri Guruji Nirvi kalpa samadhi avastha mem baita dha. left side mem sampom ka bill dha. uska nasdik ek snake pada dha. meri sister us bill mem hath dalne ki koshish kar rahi he. Tu hath dalo math. usmem snake hoga. vo tuje katega eisa mem boli. par vo suni nahi. us ka ungali mem khun aane lagi. mem dar gayi. meri Guruji ko bolne gayi. guruji ko batane keliye dil chahti dhi. Guruji avadhoota stiti mem dha.. mem bolne keliye gayi Guruji meri sister ka hath mem samp khata eisa puchne ka pailehi Meri Guruji bola beti vo samp khata nahi, vo … ithna hi bola mem neend se udhi.swapna toot gayi.. us din se meri man chahti hum ye swapna ka mathlab kya hoga. Guruji aap paila bhi mera doubt clear kar chuka he. please meri madat kijiye Guruji. Aap ka Bhakta, AP.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Atharvaved mein saaf-saaf kaha hai ki swapan jhoote hotey hain. Isliye swapan par vishwas nahin kiya ja sakta. Aap hee socho, koi mazdoor swapan mein apne ko Prime minister banaa dekh le to subah jub weh uthega toh weh mazdoor hee hoga, Prime minister nahin.

Brahma muhuratha ka arth hota hai ki sadhak pratah kaal fourth prahar arthat subah chaar baje uthkar, sanaan aadi karke Ishwar ka naam jaape aur yogabhyas aadi upasana karey. Iska matlab yeh nahin hota ki subah chaar baje koi swapan dikhai de gaya to uskee koi visheshta hotee hai, aisa nahin hai. Visheshta yeh hai ki sadhak pratah chaar baje uthkar sadhna karey toh uska jeevan safal ho jaata hai.

Doosra yeh hai ki swapan pichhley janam ke sanskar aur is janam kee dekhi hue baton ke miley-juley asar se dikhai deta hai.

Teesree baat, Atharvaved nein yeh kahee hai ki swapan gatheeye ke rog ke samaan dukh denein wala hota hai. Atah Swapan par dhyan na dein. Hum, vedaadhyayan, Yajyen evam naam-jaap aadi upasana karke swapan dikhai deine wale sanskaron ko nasht kar dein aur sukhi rahein. Again, my blessings to you.