Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी दयानंद सरस्वती जी ने आजीवन वेद प्रचार किया।लोगो को सत्य ज्ञान दिया कई वेद आधारित ग्रंथ लिखे।आजीवन ब्रह्मचारी रहे फिर उनके अच्छे कार्यो का फल उनकी असमय मृत्यु के रूप मे क्यो आया जबकि ईश्वर सबके द्वारा किये कार्यो को प्रतिछड़ देख रहा है।ईश्वर विष के प्रभाव को उनके शरीर पर होने से रोक भी सकता था क्योकि वे तो दुनिया मे सत्य ही प्रतिष्टित करना चाहते थे।
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Beti ab tak aap itna pravachan aur vedic gyan ekatrit kar chuki ho ki aise-aise prashano ka uttar aap swayam de saktee ho. Yeh vedic gyan hai ki Yogi ke bhi kuchh karma bhogne ke liye reh jaate hain halanki weh mukta jeevatma hota hai. Parantu jub tak shareer mein rehta hai tub tak Yogi (jeevatma) karmon ka bhog bhogta hee rehta hai. Hamein Ishwar par bhi sandeh nahi rakhna chahiye kyunki koi karma aisa hota to uske mutabik Ishwar Dayanand ke haalaat aise karta ki Dayanand jee zahar pee hee na paate parantu yadi Yogi ne bhi agar ek baar zahar pee liya hai aur especially yadi weh zahar Potassium cyanide hai jo ki Dayanand ji ne piya tha to mrityu shat pratishat nishchit hai.

TT: महाराज जी प्रणाम महाराज जी मेरा प्रश्न ये है कि इंसान को अपने पिछले जन्म के परिणाम स्वरुप ही इस जन्म में अच्छा बुरा भोगना होता है। पिछले जन्म के हिसाब से हम दुःख भोग रहे हैं और उससे बचने का मार्ग आपने हमें दिया जो हम कर रहे हैं ये भी सत्य है कि हमें उसका फल अवश्य मिलेगा। महाराज जी मैं अत्यधिक गरीबी मैं जी रहा हु। मैं ये पूछना चाहता हु की क्या प्रभु मेरी सजा नहीं बदल सकते मुझे आर्थिक कस्ट की जगह शारीरिक कष्ट नहीं दे सकते क्योंकि महाराज जी शारीरिक कष्ट में खुद और परिवार ही परेसान होते हैं आर्थिक कष्ट में परिवार के साथ-साथ समाज के उन लोगों को भी कष्ट भोगना पड़ता है जिनसे उधार लिया होता है महाराज जी उनको समय पर रकम न लौटाना भी तो पाप ही होगा तब भी जब कोई उधारी मांगने आये और हम हाथ जोड़कर मना कर दें । महाराज जी कृपा करके उचित मार्ग दीजिये। प्रणाम।
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Han! Insaan ko apne pichhley janmon ke parinaam swaroop hee is janam mein achchha-bura bhogna padta hai.

Idea of Rigved mantra 10/135/1,2, 3, 4

Rigved mantra 10/135/1,2, 3 we’ve been blessed with the human body to face the result of our previous lives’ deeds – good and bad, in the shape of happiness and sorrows. When we’ve to face bad deeds then naturally everybody says that it is our bad luck but mostly people do not think that God has done justice and the sorrows/problems given by God is the result of our said deeds. Further, the ved mantra 4 state that if a person makes contact with learned acharya of Vedas and yoga philosophy and becomes able to gain knowledge of Vedas and obey preach of Vedas then the effect of bad deeds is automatically destroyed and future becomes bright. Secondly, God helps those who help themselves. So, hardworking, devotion and dedication also makes future bright.

Rigved 10/135/1, 2, 3, 4 ka yahi bhaav hai ki manushya ka yeh janam pichhley janam ke kiye punnya paap karmon ka phal bhogne ke liye mila hai. To jitni deir punnya karma ka phal mahina, do mahina, saal ,do saal rahega, utnee deir tak to weh manushya, is janam mein kiye paap karmon ko karta hua bhi pichhley janam ka punnya phal sukh ke roop mein hee bhogega . Jab punnya phal ka time samapt ho jayega tab weh manushya paap karma ka phal dukh ke roop mein bhogega. Yeh ved mantra, yeh bhi kehta hai ki jo is janam mein hum paap karte hain uska phal dukh ke roop mein agley janamon mein bhoga jaata hai. Isiliye log zydatar yahi sochtey hain ki kitne hee insaan paap karma karte hain lekin sukhi dikhayee deite hain. Unhein yeh maaloom nahi ki weh pichhley janam ke kiye karmon ka sukh bhog rahe hain. Iska example Ravanna bhi hai ki jab tak uska paap ka ghada nahin bhara, usnein sukh bhoga aur jaise hee paap karne ka time khatam ho gaya uskee sone ki Lanka ujad gayee.

Doosree baat yeh hai ki Ishwar bhakti ke bina koi bhi sukh prapt nahi kar sakta. isliye jo insaan aaj pichhley janamon ke punnya phal se dhan –parivar aadi ka sukh bhog rahey hain, weh bhi yadi Ishwar ki ved anusar bhakti nahi karte to dikheinge to weh sukhi par mansik dukh unhein andar hee andar sataata hee rehta hai. Isliye ved kehte hain ki manushya ka yeh janam pakar vedon ke anusar Ishwar bhakti karte hue pichhle janamon ke dukh dene wale karmon ko nasht kiya ja sakta hai aur is prakar ek lambi sukhmayee aayu prapt kee ja saktee hai.

Jo aapne vedic marg par chalna seekha hai, us marg par chalkar karma phal nashta ho jaata hai. Aap ved marg par chalte aur nitya dono time agnihotra karte rahein. Ishwar sheeghra hee aap par kripa karega. Nitya dono samay Havan karte rahein. Kaheen se bhi deeksha avashya prapt karein. Deeksha ke bina bhi Parmeshwar kee kripa prapt karna asambhav sa ho jaata hai.