Anupam: बहुत बहुत धन्यवाद गुरुजी।
Swami Ram Swarup: Ashirwad Beti. Is vishaye mein yeh bhi samajhna zaroori hai ki jaise vriksh kee jad hotee hai parantu jad kee koi anya jad nahi hotee hai. Bhaav yeh hai ki jad sadaa jadrahit hotee hai. Yadi jad kee bhi koi anya jad hotee to is prakaar us jad kee bhi anya jad honee avashyak hai. Yadi aisa manaa jayega to yeh ek anavastha dosh utpann hoga aur aisee parampara ka koi ant bhi nahi hoga. Bhaav hai ki aisee koi parampara hotee bhi nahi hai. Isliye prakriti, Parmeshwar aur jeevatmayein swayambhu kahee gayee hain. Arthat in teenon tatvon ko kisi bhi vastu se nahi banaya gaya atah ye teenon tatva swayumbhu kehlaate hain.

Sandeep: Thank you very much swami ji Regards Sandeep.
Swami Ram Swarup: Blessings beta.