S: Namasthay Swamiji, I am 52yrs old and I haven’t achieved much in life financially. But my wife supports me financially and takes care of me well. I have no other issues other than that. Is it not a sin I am enjoying the fruits of her labor. Can you please advise me on this matter?
Swami Ram Swarup: Namasteji. It is a duty of a husband to earn money by doing hard work to feed the family. But after trying the best if job is not achieved then other sources like small business etc., must be searched. I appreciate your wife who looks after you but now you should also try your level best to earn money. Don’t get demoralized, have patience. Then sure God will help you.

आर्य विनोद: पूज्य महाराज जी . . . चरण वन्दन, क्या वेद मे कोई ऐसा मंत्र है जो हमें बताये की पहले वेदमंत्रों से रोजाना यज्ञ- हवन करना ज़रूरी है ,फ़िर इसके बाद मे ही अष्टांग योगसाधना का अभ्यास शुरू किया जाता है , तभी योगसाधना लाभकारी होती है?
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad. Samved mantra 14, rozana bolne wala mantra hai jo nitya haven aur Yajyen karne ka aadesh deta hai. Buddhi ved gyan sunkar shudh hotee hai. Phalswarup buddhi mein chchote se gyan dwara swayum hee baar-baar vigyaan prapt karne kee kshamta aa jaatee hai. Toh yeh to sadhaarann sa gyan hai ki Ashtang Yog vedon se utpann hua hai, Ashtang Yog ka varnan vedon mein hai. Yadi prithvi ke aarambh mein ved na hote to vartamaan mein bhi na kisi padarth, Parmeshwar rachna, shareer, Ishwar aadi ka gyan hota aur na hee Ashtang Yog ka gyan hota. Jaise mata-pita se janam paakar manushya ko mata-pita kee sewa karke rinn chukaana anivarya hai- dharam hai, isee prakaar yog vidya kee jannee ved vanni ka sammaan aur anaadi parampara yahee hai ki pehle vedaadhyayan, haven- Yajyen, naam-simran aadi karein tatpashchaat Ashtang Yog sadhna . Aaj ved na jaanane ke karann hee to manushya Yoga, Yogasan aadi kehne lage, Ashtang Yog ko bhool gaye, doosra koi yadi vedon ka tyaag karke yog sadhna karega bhi to yeh kitna badaa paap hai aur kitnee haani hai, weh is sey hee gyaat hota hai ki logon ne aaj yog-2 kehkar yeh prachaar kar diya hai ki Yog swasthya ke liye achcha hai. Yeh shabd hee apramaanik aur swanirmit, naashvaan hai. Teesra, aisa ved-vidya tyaag kar kiya hua yog Parmeshwar kee pehchaan nahi karaata kyunki Parmeshwar nirakaar, sarvavyapak, sarvashaktimaan aadi atyant gunon se yukta hai jubki yog-2 karne wale ved-virudh bhakti etc. karte hain kunki ved-vidya ka Adhyayan na karke seedha yog-2 karne lagte hain, Ashtang yog bhi nahi bolte.