Somdutt: Namaskaar guru ji….. Aap mujhe ye bataiye guruji …kya vedo ke gyan ke bina mirtulok me mukti nhi…ydi nhi to bhakt jo gyani nhi lekin iswer ke prti bhav h unke sakar roop ki bhakti krte h..unko mokchh kaise mil jata h….aur yadi ved gyan ke bina mukti mil jati h to hme ved kyu follow krne chahiye…
Swami Ram Swarup: Namaskarji. Vedon mein to Ishwar ne aisa hee kaha hai ki vedon ke gyan ke bina mukti nahi ho saktee. Jaise ki Rigved mein Ishwar ne kaha ki Vedon ke bina mujhe koi bhi prapt nahi kar sakta aur mujhe (Parmeshwar ko) prapt kiye bina na sukh hai, na mukti hai. Bhakt jo gyani nahi arthat jisko ved ka gyan nahi usey to yeh bhi pata nahi hota ki Ishwar kise kehte hain. Weh to mangharantt Parmeshwar kee Pooja karta hai aur unheein mangharant Parmeshwar mein hee uska bhaav hota hai.

Uska bhaav vedon mein kahe nirakaar Parmeshwar jo sansaar kee rachna, paalna aur pralay karta hai, sab jeevo ko unke karmon ka phal deta hai, hamein janam-mrityu deta hai, sarvavyapak hai, sarvashaktimaan hai, jo vedon ka gyan deta hai arthat jiske anant gunn hain us Parmeshwar mein bhaav thodee na rakhta hai kyunki is Parmeshwar ka to usey gyan hee nahi aur ved ke anusaar is Parmeshwar ke ilawa koi doosra Parmeshwar nahi hota. Parmeshwar ek tha, ek hai aur ek hee rahega. Aur Is Parmeshwar kee Pooja kiye bina moksh prapt nahi hota, aisa Swayam Parmeshwar charon vedon mein kehta hai. Ab samasya yeh hai ki hum vedon mein kahee Parmeshwar kee satya vanni ko maanein ya ved ke virudh manushyon kee apnee mann se banaye marg ko maanein. Ved ko follow karna isliye zaroori hai ki ved Parmeshwar se utpann avinashi gyan hai aur is ved ke gyan ke bina sukh ya mukti nahi prapt kee ja saktee, aisa swayam vedon mein Parmeshwar kehte hain lekin phir main yahaan yahi kahoonga ki aajkal dharam nirpekshta hai atah har kisi ko azadi hai ki weh koi bhi marg pakad le bus dhyan yahi dena hai ki Parmeshwar azadi nahi deta. Parmeshwar ka niyam hai ki jaise manushhya Parmeshwar se utpann hawa, paani, prithivi, ann aadi sabka samaan roop se bhog kar raha hai usee prakar Parmeshwar se utpann ved vaani ko bhi sweekar kare.

Somdutt: Namskaar guru ji….. Yadi god ek hi h to unke sabhi roopo ki pooja ki vidhi alag alag kyu h….jaise satnarayan ke vart me soap se nhi nahate..aur…hanuman ke vart me soap se nahate h… Aur yadi ye galat h to kya sab jhoot bolte h kyunki jo vart ki book aati h wo to sahi hogi usme bhi vidhi ka verdan h. Aur bhagwan ko sakar roop lene ki jaroorat kya thi….wo bhi itne sare. Aapne meera baba ka naam to suna hoga unki jyote pe jo longg ka joda chadhata h wo paresaan ho jata h …lekin wo bhi to devta h aisa kyu hota h. Kya bhagwaan ke ander bhi common sence hota h kya wo bhi bhavook ho jate h…kya wo bhi rote-haste h… unhone hme kyu bnaya ..apni pooja ke liye iska mtlb wo bhi apna aader(respect) chahte h to unme bhi comoonsence hoga hi..
.khte h bhagwaan ek h to parvati mata ne mahal banbane ki jidd bholenath se kyu ki aur mata ne ghor tapasya bhi ki thi agar dono ek h to bhala wo itni tapasya kyu krti… Meri inn sankao ka nivaaran kigiye guruji……please
Swami Ram Swarup: Namaskarji. Yahi to baat hai beta ki vedon ka gyan prapt kiye bina us ek Parmeshwar ka gyan nahi hoga jo sach-much mein Parmeshwar hai aur jiske ilawa aur koi doosra Parmeshwar na paida hua na hoga. Ab jub Parmeshwar ka gyan hee kisi ko nahi hai to phir woh ved ke khilaf kitne hee Parmeshwar banakar Pooja karega hee . Satyanarayan kee katha ya kisi aur Parmeshwar ka varannan vedon mein nahi hai isliye aaj tak prithivi par vedon ke gyata kisi rishi-muni athwa vidwaan ne vedon mein kahe Parmeshwar ke ilawa aur Parmeshwar kee Pooja kabhi nahi kee. In this connection, I paste my article as under:-

God is formless

Being formless there is no need of statue or temple of God according to Vedas. As a matter of fact, you, I or every human being, lives in a body. Body is separate, we are called souls. Vedas say soul has no form even. Then also we know each other. For example even if you have not seen the photograph of King Akbar then, you can know Akbar by means of the study of his qualities. So is the case with the God. If an aspirant really goes to his Guru and listens Vedas like Shri Ram, and ancient kings and their public then he will be able to know hundred percent about formless God. Then comes realization for which Vedas (especially Samveda) says that he who performs Yajyen, does jaap (according to Vedas) and practises Ashtang Yoga Philosophy while remaining in family like Shri Ram etc., he sure realizes ,being eternal law.

If we will meditate concentrating outside our body which is also against Vedas/Ashtang Yoga Philosophy, then our attention will always naturally remain outside i.e., attached with outer world i.e., decoration/music/dances etc. In that case subject matter of God will be over. It will be converted into spending fun, doing dances and singing attractive songs by ladies and gents, which is totally against Vedas. Thus the chapter of praising God, True Acharya, Rishi-Munis, performing Yajyen, practice of Ashtang Yoga, eternal knowledge of Vedas etc., will be over.

It is also baseless to say that study of Vedas and practice of yoga philosophy is difficult. It is self made story because Vedas are also called Shruti i.e., Vedas are to be listened first and not to be studied. So to listen to the Vedas, a learned Acharya is needed. The Acharya will explain the Ved mantras in the Yajyen in your own language i.e., in English or Urdu etc., and for an aspirant to do asan, pranayaam, meditation etc., is also not difficult. It is all difficult for those human beings, including present false prophets, (who are against the Vedas), who are lazy, can’t awake early in the morning to listen Vedas and fail to do practice of yoga philosophy. Those people are always after money, materialistic articles and pomp and show etc.

Vedas are not written or spoken by God. This knowledge is emanated from God and is originated in the heart of four Rishis as stated above. God is Almighty i.e., He has all powers. So He needs no assistance to do deeds of universe. In human body alive soul resides and soul is dependent, soul requires mouth to speak, eye to see, hand to write etc., etc. but not God. From His power God originates the knowledge of Vedas in the rishis without writing, or speaking etc. Vedas’ knowledge is divine. The fundamental of the Vedas is this that it was not written or spoken. The knowledge by the power of God was originated about one Arab 96 crore, 8 lakh and 53,111 years ago. Then first time the four rishis of nonsexual creation started pronunciation of the mantras by the power of God. God wanted them to know word meanings and sense of the mantras and therefore the rishis knew all. Then first time the four rishis started pronunciation of the mantras. They taught the mantras to other ignorant people. Then more rishis were produced who knew the Vedas by heart by listening only. There was no paper, ink or pen there. The Vedas were being learnt orally and traditionally this process is yet in force. But mostly not by heart but taking help of the printed book. So printed books are not called Vedas but these are called samhita.

Samhita means the collection of Ved mantras. Therefore Present printed books cannot be considered as Vedas and will never be in future, but samhita. Kapil Muni throws light on this point in his Sankhya Shastra sutra 5/48 that when a rishi does tapsya in the shape of Yajyen, study of Vedas, practice of Ashtang Yoga then the Ved mantras still (now also) originate in heart of the Rishi and the rishi pronounces the mantras. Those mantras are called Vedas, which emanate from God. So Vedas must first be listened (study) from alive Acharya (Guru who knows Vedas). Then only Samhita (books of Vedas) can help.

Are Brahma, Vishnu, Mahesh Gods?

Brahma, Vishnu, Mahesh are not God. Vedas tell that there is only one formless God who never takes birth. He creates, nurses and destroys the universe. His power is enough to create and control the whole universe. He is Almighty i.e., He has all unlimited powers and therefore He does not need any assistance to create, nurse and destroy the universe by Brahma, Vishnu, Mahesh. If God needs assistance then He will not be called Almighty. So God does not need any support but we all humans as well as all living beings need His support and blessings everytime. However, in Vedas, there are innumerable names of Almighty God according to His divine qualities. So Brahma, Vishnu, Mahesh etc., are also the names of the formless Almighty God. Brahma means the greatest. Vishnu means omnipresent and Mahesh means the greatest.

Dekho beta Yog Shastra sutra 1/7 ke anusaar jo kuchh vedon mein hai wahi Parmeshwar ne satya bataya hai. Maan liya aap kisi Pooja kee baat karte ho yadi uska varnnan vedon mein nahi hai to Parmeshwar ke anusaar aur rishiyon ke anusaar weh Pooja aadi jhooth kahee jaati hai. Parmeshwar ne hamein kyun banaya iska uttar bhi vedon mein hee hai. Asal mein srishti rachna karna na karna arthat hamein banana ya na banane ka koi prashhan nahi hai kyunki srishti rachna, paalna aur iska sanghar ek nishchit samay par swabhawik roop se apne aap hota rehta hai yeh process anadi evam avinashi hai. Doosree baat yeh hai ki maan lo Parmeshwar karma anusaar hamara shareer na banaye (parantu sach to yeh hai ki rachna, jaisa upar kaha, apne aap hotee hai, rukegee nahi to hum jeevatmayein behoshi see) arthat sushupt avastha mein padee rahengee. Socho kya koi aaj ek chaarpai par aise hee padaa rahe, kaam etc., na karein to kisi ko ya usko achcha lagega? Aaj kai coma mein chale jaate hain aur bichare chaarpai par pade rehte hain, yeh kya kisi ko achha lagta hai? Arthat nahi lagta. Isliye rachna, paalna aur pralay avashyak hai aur Parmeshwar ke Vedic niyam anusaar Ishwar kee Pooja kiye bina shanti prapt nahi hotee. Isliye Parmeshwar kee Pooja hum apne liye karte hain ki hamein sukh mile. Doosra Parmeshwar hamein rehne ko dhartee, khane ko ghee, doodh, phal, anaaj deta hai. Toh Kya hum badle mein uskee Pooja aadi karke uske vedon ko apna kar usko dhanyawaad na dein, ehsaanpharamosh bane rahein.

Jub Parmeshwar ek hai aur woh nirakaar hai, toh baaki saaree kathayein insanon kee banayee hui hain.