Arya: Namaste Swamji log mujhe jabardasti havan chhodne ke liye kahate hai. ve uska mazak udate hai. ve kahate hai science students ko isme vishwas nahi rakhna chahiye.kintu apane aap ko scinece bhakt maanane waale ve log swayam man ko apane aap chalane waala maante
hai.ve mera mazak udate hai aur mai dukhi ho jata hu.fir kabhi kabhi havan chhod deta hai.kabhi kabhi to sandhya bhi nahi karata hu.yah janate hue bhi ki yahi is sansar ko banane waale ka aadar satkar va usase prem hai.mai kya karu?mujhe pata hai brahmacharya se oj badhta hai.kintu 99.9999999% log iski khilli udate hai. jis vajah se mai vaha nahi rakh pata hu.mai kya karu?sab log satya bolne waale par hanste hai.ve kahate hai ki tu to ek dam se buddhu va padhai me kamjor
hai.mai kya karu? kripyaya iska samadhan kare.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Is jagat rachna mein maya aur bhakti, gyan aur agyan,
Vidya-avidya, sach-jhoot, yeh dono cheezein saath-saath banee hain. Jo vidwan hote hain, vedon ke vishaye mein jaanane lagte hain, weh kisi kee bhi jhootee baton mein nahin phanste aur jo mazak udate hain, who paap karte hain aur paap kee sazaa swayam Ishwar deita hai. Sadhak ko ninda aur stuti, dono mein samaan rehne kee aagya Ishwar nein dee hai. Havan aur Yajyen ke vishaye mein Vedon mein kaha hai ki yeh hamare prann hain aur prann koi bhi chhodna nahin chahta. Havan chodne ka matlab hai hum apne prann chhod rahein hain, arthat hum sheeghra mrityu ke graas mein chale jayeingey. Isliye aap kisi bhi halat mein havan na chhodein. Main kisi ka criticism nahin kar raha par kabir kee ek baat likh rahaa hoon jo ki sadhak ke liye ek niyam hai. Kabir kehte hain- ‘Tu to nam simar, jag ladwa de”arthat Ay! Sadhak tu Ishwar kee bhakti kar, duniya toh ladai ke baatein kareigee, duniya ke paas ladai, nafrat, vikaron ke siwa kya hai. Aagey kabir kehte hain-
‘Haathi chalat apnee mad so, kukar bhukat wa ko Bhukwa de’ arthat haathi apnee masti se raaste pe chalta rehta hai aur kutte bhaunkte reh jaate hain par hathi kutton ko kuchh nahin kehta. Isi tarah sadhak kisi ko kuchh na kahe apnee sadhna mein lagaa rahey.

Brahmacharya ya kisi vishaye ke upar jo bhi log khilli uadte hain unhonein koi ved, shastra thodee sunein hain, unkee to jitnee samajh hai waise hee woh kah deite hain isliye haathi kee tarah unka kya bura aanana. Agar kisi ke kahe ka bura maanogey toh phir sadhna nahin hogee. Vibheeshann bhi toh pooree Lanka ke rakshason ke beech mein akela vidwan rehta tha. Han! Padai mein kamzor nahin hona chahiye. Vidyarthi ka dharma Gurujanon se vidya prapt karna hai aur khoob padna
likhna hai. Mera tumhein Ashirwad.

Anonymous: Guru ji mere liye ek rishta aaya hia bahut acha ghar hai. log b izzat wale hain, mein doctor hoon par sanwla hoon aur ladki b sanwli hia, ab masla ye hai k mein b sanwala aur wo b sanwli to humari generation b sanwli hogi, mujhe agar koi ladki hoti hia to us ki b shadi mein masla hoga colour ki wajah se, lekin ghar bahut acha hia mein nahin chahta k ye rishta ganwaoon, aap hi mashwara dein mein kia karoon, mein sirf next generation ko le k parehan hoon.
Swami Ram Swarup: Aapke vichaar ved ke anusaar nahin hain. Ved rang aur shakal par
nahin jaate, gunn par jaate hain aur atma ke rehasya ko preference deite hain. Gore toh Krishna Maharaj bhi nahin the, saanwale the. Santaan achhee prapt karne ke liye ved ka gyan sunne kee avashyakta hai, shareer ke color kee avashyakta nahin hai. Haathi bhi gora nahin hai lekin aaj science kahtee hai weh sabse badaa buddhimaan pranni hai. Aapko achha rishta aaya hai, usey sweekar karein colour pe naa jayein. Jub aap dono gunwaan honge toh next generation toh aapkee
dhan-sampadaa se poorna, buddhimaan aur lambi aayu wali hogee.

R K D: After retirement from bank service whether I will get any other service or I will do profession or whether I will success in real estate business. Whether I will do partnership with my friend?
Swami Ram Swarup: This all depends on your ability, qualification, hard-working. So, please do your level best to seek job after retirement.