Sanjay: Maharaj ji maine aapeke bhi video dekhe hai bhut. Aur bhut suna hai. Mahraj ji mere ko ye janena hai. Kya sirf 2 din me kundali jaag skti hai. Jaise geeta mai bhi hai bhut janmo ko lgatar sadana se fir kundaliya jageti hai. Bt maharaj ek motivation guru hai sandeep maheshwari. Syd aap ne unke bre mw suna ho. Unka, ek video tha. Usese unhone ye to btya dhyan kaise lgao. Bt fir wo bta re the sirf 2 din mai unki kundaliya jaag gyi. Bt pta ni mujhe yakeen nhi huaa. Kyuki syd wo to ek aisi stage hai useke bd syd he insaan mai koo icha rhe jaye. Jitne bhi rishi hue hai unke koi na koi guru jaror huaa hai bt wo khete hai unhe guru ke jarorat mehsos nhi hui. Akhir ine sbe btao ka sach kya hai. Kya asa possible hai.. Plz bta dijiye.
Swami Ram Swarup: Do dinon mein kundalini kabhi nahi jaagti. Kundalini ke baare mein sochna ya padna etc., bekar hai. Kyunki ismein pehle vedic marg par chal kar nitya agnihotra, Ashtang yogabhyaas kee sadhna, Ishwar ka naam smarann, vedadhayayan, kisi vidwaan acharaya ke ashray mein rehkar karna avashyak hai. Atah iske baare mein pehle socho kundalini ke baare mein nahi. Geeta mein jo aap keh rahe hain, weh nahi likha. Usmein likha hai ki bahut janamon tak nitya jo Ishwar ka dhyan karta hai arthat yogabhyaas karta hai to kisi ek janam ke ant mein weh Ishwar ko prapt karke is avastha mein Parmeshwar ko mehsoos karta hai. Dekho beta har baat ved mantron ke pramann dene par hee satya maani jaati hai. Charon vedon mein aisa koi mantra nahi hai jo do din mein kisi kee bhi kundalini jagrit ho jaati hai.

Atah hum andhvishwaas par dhyan na dein. Jeevan mein guru se deeksha lena vedon mein kaha hai.

Amar: Guruji pranam god realization mai yog ke jarorat ku pdeti hai. God ander hai use hum sirf dhyan lga kr ni paa skte hai. Dyan aur yog kaise connect hai wk dusere se. Samadhi ke kya alag alag stage hoti hai for example budh ko bhi god relization huaa aur nanak dev ko bhi. Dono ke relization mai fark kya hai. Ek ved ko support krete the dusere nhi. Chlo maan bhi lo bhudh ke time logo ne vedo ka roop vikrit kr diya, tha. Isw wajah se wo ved pe yakeen ni krete the bt maharaj ji samadhi dono ko prapt thi. Kya dono ko vedo ke darshan hue agr hue to budhe ne vedo ko god ke vaani ku ni maana. Agr nhi hue to kya samdhi ke bhi koi stage hoti hai kya. Kisi ko alag level pe kisi ko alag. Plz bta dijiye
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Yog ka artha hai “judna” Ishwar se judne ke liye ved marg par chalna, nitya ved mantron se agnihotra karna aur ashtang yog kee kathor sadhna karna anivarya hai. Ishwar hamare andar aur bahar sab jagah hai. Lekin weh kewal yogiyon ke hriday mein prakat hota hai. Dhyan Ashtang yog ka saatvan ang hai.