Deepak: Pranam guru ji.charansparsh..guruji maine facebook p apke qution ans ka ek page banaya h jisme aapse puche gaye qution or uske ans post krta hu taki ye or v logo tak pohche …m is kam k liye apka ashirwad r anumati chahta hu..dhanywad..
Swami Ram Swarup: O.K. my son. You may go ahead. My blessings to you.

Ashok: Swami ji namastay. Swami ji vishwas ka sandhi vichchhed vi evam shwas h to kripaya aap mujhe vi ka evam shwas ka matlab alag 2 aasan sabdo me bataye
Swami Ram Swarup: Namasteji. Hindi bhasha mein “Vi” ka arth hai- Vishesh, shwas ka arth hai-saans (breathing).

Harish: Agar yogi aur brahmachari mai koi difference nahi to phir alag alag shabd kyu hai?..kuch to diff hoga na swamiji!..
Swami Ram Swarup: Brahmacharya dharann karke hee Yogsadhna aur vedadhyayan kee shiksha ko acharann mein leney ke dwara koi Samadhi prapt karke yogi banta hai. Atah yadi Brahmacharya nahin hai to koi Yogi nahi ban sakta atah Yogi weh hai jo Brahmachari hai.