BJ: Nahi. (Previous question: Namasteji. Samadhi ka vishaye gambhir hai. Is vishye mein jo prashan karta hai ussey thoda bahut vedon ka gyan, agnihotra karna avashya aana chahiye kyunki Ashtang Yog vidya jo vedon se niklee hai, ussee ke abhyas se Samadhi lagti hai anyatha nahin lagti. Pehle aap yeh baatayen ki kya aapne Ashtnag Yog Vidya kee sadhna kisi Yogi ke ashrey mein rehkar kee hai ya nahin?)
Swami Ram Swarup: Mukhyataha, do prakar kee Samadhi hotee hain,
(1) Sampragyat (2) Asampragyat.

Asampragyat Samadhi mein bhi dharammegh Samadhi prapt Yogi hee brahamleen hokar moksha ka sukh prapt karta hai. Yeh avastha kisi ved avam yog vidya ko jaannein wale acharya ke ashrit hokar jab sadhak ved vidya sunta hua, rozana agnihotra/Yajyen, Ishwar ke naam ka simrann evam Ashtang Yog Vidya ka kathor abhyas karta hai tub hee usey prapt hotee hai.

Is vishey main yadi aap chahein to meri likhee Patanjal Yog Darshan Part I and II, (in Hindi) worth Rs.131/- and Rs. 200/- excluding postal charges pad sakte hain.

Avikash; Chamma Karna ..mera swaal tha ki Dasrath Ji ke pitta a naam kiya tha.
Swami Ram Swarup: Raja Dashrathji ke pita ka naam Raja Aja tha.

I P: Hari Om, I am interested in joining your ashram for studying more aspects under guidance on swamiji So plese mail me the details of such if i can join u and when how. I was thinking to start your pravachans over here to guide the people to correct path. Thank You.
Swami Ram Swarup: You are welcome here anytime from today till 30th june.