Anupam: Pranam guruji.vedo me vivah sanskar sambandhi niyam kya hai.arya samaj me 5 phere ka vidhan kyu hai jabki sanatani tareeke se vivah me 7 phere ka vidhan hai.guruji vivah sanskar ke samay jo ghar me riti rivaj sampann hote hai jaie haldi mehdi adi ko kya koi vaidic mahetva hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Arya Samaj vedon ke anusaar karma karta hai, jo ki bilkul theek hai. Vedic mahatva nahin hai parantu swasthya ke liye achcha hai.

Anupam: Guruji sadar pranam.guruji yoga darshan vali pustak me apka ek photo aapke guruji ke sath hai.unhone gale me v hatho me rudraksh ki mala dharan ki hui hai.guruji kya vedo me rudraksh ki mala daran karne ka vidhan hai.guruji jaisa ki ved mandir sight per diya hai ki jo yoga class attend karna chahe ya ved adhyayan karna chahe veh apna interest bhej sakta hai.to agra me rehker ye sab seekhna kaise sambhav hai.guruji apko sampurn vedo ke adhyan me kitna samay laga tha.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Vedon mein rudraraksh kee mala dharan karne ka vidhan nahin hai lekin suvidha ke liye pranayama kee counting karne ke liye guruji rudraraksh ka istemaal karte the. Sampoorna vedon ke adhyayan mein 12 se 14 varsh lag jaate hain lekin aaj kal yeh bhi theek hai ki kewal vedon ka hee adhyayan kiya jaaye. Vyakarannn Shastra adhyayan na karein kyunki vedon mein hee kaha hai – “veden veda” arthat vedon ke dwara hee vedon ka Adhyayan karo. Vastutah jab aap kabhi yahaan ayengee beti, tab pooree shiksha dee jaayegee.