N: Guruji ko mera prnam. mere ko ye puchena tha. jo hum hawan krete hai kya useka effect aas paas ke jeev pe bhi pdeta hai. guruji meri family me to sbe murti pooja fast ye sbe krete hai but ab me 2 time daily hawan kreti hu. morti pooja aur fast ni kreti. god ke kripa aur aapeke aashirwad se sbe acha chl rha hai. per khabhi mom bdi jid se mandir le jaati hai diva jalwa leti hai. kya guruji ye paap hai. maine family ko bhut smjhaya but wo ye sbe nhi smjhete. ase me kya kru . kya guruji aapeki photo hawan ke video rkhena koi paap hai. agr koi pucheta hai hawan kse krete hai kya aapeki site ke bre me btana galat hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Havan karne ka prabhaav teenon lokon mein aur her pranni ko prapt hota hai. Isliye Yajyen/havan jaisa paropkarik karma anya koi nahin hai. Beti, yeh aapne Ishwar kee agya maani hai kyunki Ishwar Charon vedon mein havan/Yajyen karne kee agya de raha hai. Yeh sarvashreshth Ishwar kee Pooja hai. Aap sadaa sukhi rahein. Moorti Pooja, fast aadi ka varnnan vedon mein nahin hai. Vedon ka ek niyam hai ki jo ved mein kahee agya ka paalan karta hai weh Ishwar ko prasann karta hai aur punnyavaan karma karta hai. Iske vipreet ved virudh karya paap karma kahey gaye hain. Mummy kee khushi ke liye diya jalaa do parantu issey laabh kabhi prapt nahin hoga aur na hee Ishwar prasann hoga.
Nahin beti, aap havan ke paas photo rakho aur ved mandir.com site ko bataa kar logon ka bhala hee hoga aur aapko punnya prapt hoga. Aap apna mobile number bhejein jisse ved mandir mein jo roz Vedic pravachan hota hai aur Yajyen hota hai, subah 8.00 a.m se 9.00 a.m tak aur sham ko 7.00 p.m se 8.00 p.m tak. Weh aap Mixlr app par sunn sakti hain.

Suresh: Could you kindly translate “Main hi Krishna aur main hi Paarth, Bus Karm hi mera parmaarth; Na koyi adhikaar na koyi swaarth, Mere jeevan ka yehi bhawaarth. Karm se bada koyi nahin,” into English? Grateful if the English translation is kindly mailed to me at your earliest.
Swami Ram Swarup:“I am Krishna and I am paarth” To discharge duties is only my path. I claim no selfishness, no right. This only shows my life’s card. There is nothing greater than duty” which is only human life’s beauty. I am not English poet yet I have written English poetry on your given words.