Anupam: Guruji namastey apse prash pujhne ki swatantrata mili hai iska labh lekar apni jigyasaye shant karne ki koshish kar rahi hoo.apne bataya ki bhagwan har sansar ke nirman ki suruaat me ved gyan dete hai.sansar kitne hai. Bhagwan ne vedo ka gyan char rishio ko dia jo non sexual creation the to phir manushya kaise astitva me aaye. Apne bataya ki ved itne purane viska ullekh bhi vedo me milta hai esa ved ke kis mantra me bataya gaya hai.
Swami Ram Swarup: Namaste Beti. Sansaar ek hee hai, yeh pooree jo bhoogol hai arthat Prithvi lok hai, doosra yeh jo khali sthan akash hai, isey antariksh lok kehte hain aur teesra yeh jo suraj, chand, sitaare, chamakne wale planets hain, unhein dyulok kehte hain. Yeh teeno milkar hee sampoornna Brahmaand hai aur isey hee poornna sansaar kehte hain. To sansaar ek hee hai. Sabse pehle rachna mein Ishwar in teen lokon ka nirmaan karta hai aur prithvi bhi ek lok hai, is prithvi par bhi Parmeshwar Pashu-pakshi, ped-podhey, samundra aadi arthat saari rachnayein karta hai. Iske baad manushya ke shareer kee rachna karta hai. Inhee manushyon mein chaar manushyon ko Ishwar select karta hai aur unke hriday mein vedon ka gyan prakat karta hai.

Beti jo aapne shabda viska likha hai, woh mujhe samajh nahin aaya, mujhe samjhaye viska ka kya matlub hai. Waise sabhi pranniyon ke liye jo-jo padarth laabhkari hain, un sabka varnnan Parmeshwar ne vedon mein kiya hai.

MeiKam: Dear Guruji, How much difference in spiritual effect is a sanskar performed by a priest of a Arya Samaj Temple or performed by a Rishi? Thanks very much!
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. There is lot of difference between priest and Rishi. If Rishi perform the sanskar, it will be more beneficial.