B: Charan sparsh swami ji, meri aayu 18 varsh hai. Kya main sannyas le sakta hun. Mujhe Ek dusre swami ne bataya ki ‘ishwar ka gyan ho jane par yathavat sanyas lekar karya karna chahiye”. Kya yah sach hai. Kya mujhe padhai chhorna hoga?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Nahin, ved mantron ke anusaar aapko sanyaas nahin leina chahiye. Ved kehte hain ki sabko bhautik and adhyatmik dono tarakki sath-sath karni chahiye. Aap brahamcharya dharma karte hue poora dhyan deikar padai karein aur sath sath adhyatmik gyan bhi, jisme ved ka gyan hona vishesh hai usey prapt karte rahein. Aapko rozana hawan, halka yogabhyaas aur Ishwar ka naam ka jaap karna chahiye.

Sanyaas, brahamcharya, grihasth aur vanprasth ashram poora karne ke baad, seventy-five kee aayu mein leina achcha hota hai. Ya phir pichchle janamon kee kathor sadhna ya is janam kee kathor vedic sadhna ke prabhav se jab jeev poore tarah se apne indriyon ko sanyam kar le aur ussey Ishwar prapti ke alawa kuch na soojhe aisey poornna vairagyavaan purush ko chchoti see aayu mein bhi sanyaas leina utam hota hai. Bina Ishwar ko samjhe aur vairagya dharnna kiye, sanyaas leina andhvishwas, pakhand aur buraai ko badaawa deina hoga.

B: Charan sparsh swami ji, meri aayu 18 hai. Mujhe ishwar ka gyan hua tha. Ek Swami ne mujhse kaha ki sanyas lena chahiye. Sannyas kab liya jata hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you.Sanyaas, Ishwar ka gyan leine ke liye liya jaata hai.yadi aapko Ishwar ka gyan ho gaya hai to sanyaas kee kya zaroorat reh gayee hai aur yadi aapko Parmeshwar ka gyan ho gaya hai to kya ved adhyayan karke aur Ashtang Yog kee sadhna karne ke baad aapko Samadhi kee avastha prapt ho gayee hai, yadi han to theek hai, agar nahin to aapko Ishwar ka gyan nahin hua.

B: Charan sparsh swami ji, kya bina vedon ko padhe koi sannyasi kahlane ke layak ho sakta hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedon ke anusaar to vedon kaa gyata aur Ashtang Yog sadhna karne wala koi vairagyawaan hee sayaas leine ka adhikaari hai.