Ruta: Hello, Acording to Vedas, dreaming is always about present or past. So, If I dream people who I know in this life, is it true, that I knew them in my past?. .. But why they are in the same bodies, have the same appearance both in this life and in my dreams?… Maybe it means that
I recognize them just in such a way or my knowledge is very little and this is the best way to show me these souls I’m connected deeply with?… Thank you very much, have a nice day.
Swami Ram Swarup: Yes, dreaming is always about mixture of present and past events
including previous lives’ events. No, please. It is not definite that in a dream, if you see a person, the person was also related with your previous life. So, events are seen in a dream but person may be anyone. You are welcome, please.

Nitin: Kya main astha siddhi prapt kar sakta hu? agar haan to kripya mujhe marg bataye.
guruji meri height ruk gyi hai sirf 5.6 hai, kya ab bhi meri height bad sakti hai? kripya mujhe koi samadhaan bataye is samasya ka.
Swami Ram Swarup: Astha siddhi ved-shastron mein kahin nahin kahi gayee hai. Han!
Astha ka arth hai satya par vishwas hona- satya par dharnna hona. Kisi ved ke gyata, vidwan kee sharann mein rehkar unkee seva karke jab koi unse vedon ka gyan prapt karta hai tab yeh gyat hota hai ki nirakar, sarvavyapak, sarvashaktimaan Parmeshwar, jo sansaar kee rachna karta hai, paalan-poshann karta hai aur sansaar ka sanhar karta hai, hamein dhan-ann, jal, vayu aadi sab kuchh deita hai aur jo avinashi hai, us Parmeshwar par hee hamari astha-shraddha honee chahiye aur usee kee
hum upasana Vedic reeti se karein kyunki yahi Ishwar satya hai. Iske ilawa ved ke gyan se pataa chalta hai ki Ved Ishwar se utpann hotey hain aur satya hain. Jeevatmayein satya hain aur prakriti satya hai. Ataha hamein satya ko dharann karne ke liye, satya par astha lane ke liye ved ke gyata vidwan se Ved vidya prapt karnee chahiye. Adhiktar height 23-24 varsh kee aayu tak badti hai. Iske liye subah running (Tez race lagaana), Tadasan, paschimauttan asan dono samay karne chahiye. Diet bhi achchee (proteins, carbohydrates wali) honee chahiye.